M o h a b b a t

M o h a b b a t
M o h a b b a t

Mohabbat Ek Shajar Hy

Aur Shajar Ko Is Sy Kia Matlab

K Is Ki Chhao''n Main Koi

Thaka Hara Musafir Aa k Betha Hy

Ab Is Ka Rung Kia Hy ?

Nasal Kia Hy ?

Kahan Sy Aaya Hy ?

Isay Kis Simt Jana Hy ?

Shajar Ka Kaam Tou Bas

Chhao''n Dena Aur Dhoop Sehna Hy ..
  

Jun, 01 2010     298 chars (2 sms)     2963 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

surma samajh kar ghair ko aankhon mein di jagah,

aansoo samajh kar aankh say mujh ko gira dia.

Khud Se Fursat He Moyassar Nahin Aai Warna

Hum Kisi Ke Hote To Tumhare Hote
Na.. Chaho Kisi Ko Itna Ki,
Chahat Tumhari Majburi Ban Jaye
Chaho.. Kisi Ko Itna,
Tumhara Pyaar Uske Liya
Zaruri Ban Jaye..
meri nigahon ki talash bas itni thi,

ami

aakhri saans se pehle us ka deedar ho jaye.
Soo baar Chaman Mehka
Soo Baar Bahar Aye
Duniya Ki Wohi Ronaq
Dil Ki Wohi Tanhai
Yeh Raat Ki Khamoshi
Yeh Alam-E-Tanhai
Phir Dard Utha Dil Mein
Phir Yaad Teri Aaye
Iss Alam-E-Veran Mein
Kia Anjuman Aarai
Do Roz Ki Mehfil hai
Ek Umer Ki Tanhai
Her Dard-E-Mohabbat Se
Uljhi Hai Gham-E-hasti
Kia Kia Hamain Yaad Aya
Jab Teri Yaad Aye
neend ko aankhain krib hone nhe deti.

achi hai uski yaad jo sone nhe deti.
tum tu kahte thy kh mujhy kisi se muhabat hi nai hui.

tu phir yeh shakhs kon hai jo hr shaam gahr se nikal parta hai.
Aankh pe farz hai, hur waqt sawaali rehna

Iss ko sajta hi nahin, ashk sey khaali rehna
yaad toh har koi karega jaane ke baad,
sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad,
kaun kitni mohabbat karta hai,
nazar aajayega mar jaane ke baad,
WADA KARO K Mere Marne Par Aogay

Or Mujhey Apne Hathon Sy Dafnaogay

Aogay Meri Maiyat Pe Apno Ki Tarha

Saamne Duniya K Aanson B Bahaogay

Bataogay Na Ksi Ko Hamari Alhedgi Ka

Wohi Purana Piyar Duniya Ko Dikhaogay

Dogay Sab Sy Ziyada Kandha MujheUmar Bhar Mere Naam Sy Na Ghabraogay

Chorh K Zamane Bhar Ki Khushiyan Mere Liye

Or Mere Dil Sy Apna Gham B Mitaogay

Roz Aaya Karogoy

Tum Meri Qabar pe

Or Bakhshish K Liye Haath B Uthaogay

WADA KARO"
Jugnu ko qaid kar ke muskraya na karu,Roshni ke khatir kisi ka dil jalaya na karu,Dil pe sitam itna na karu,Yaad nahi karte tu yaad aaya na karo.
Tujhay ishq ho Khuda karay………..
Koi tuj ko us say juda karay
Teray hont hansna bhool jayain
Teri aankh purnam raha karay
Too Usi ki batain kia karay
Too Usi ki batain suna karay
Tujhay hijr ki woh jhari lagay
Too Milan ki har pal dua karay
Too nagar nagar phira karay
Too gali gali sada karay
Tujhay ISHQ ho phir Yaqeen ho
Ussay Tasbeehon pay parha karay
Main kahoon ishq dhong hay
Too nahin nahin kaha karay