Darya Wafaon Ka kabhi rukta nahi
Pyar main insaan kabhi jhukta nahi
khamosh hain hum un ki khushi k liye aur
wo samajh bethe hain K Dil Humara dukhta nahi
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
Tanhayian jaane lagi zindagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi..