magar!

magar!
magar!
yeh yaad rakhna tum
khudaa se yeh duaa karna
ke!!
jo acha lage tum ko
woh tum jaisa hargizz na ho
wagarna tum bi ro''ge
mujhe jaise rulaate ho....!
  

Jun, 01 2010     161 chars (2 sms)     2090 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ek chhoti si nazar wo mujhpay bhi daal day,

ay rab e zuljallal usay itna khiyaal day,

itna bhi kia arooj k wo mill hi na sakay,

wo ho sakay mera usay itna zawal day.
Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do
Tum apni shaam ki tanhaiyan mujhay day do
Mein doob jaon tumhari udas aankhon mein
Tum apnay dard ki gehraiyan mujhay day do
=======================================
Hum say bichar kay us ka takabbur bikhar gaya faraz
Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath
~*~Bhool Ja..~*~!!

Jo Tera Na Ho Saka Usey Bhool Ja
Woh Lamha Khawab Samajh Ker Bhool Ja
Na Ker Woh Khwaish Jo Puri Na Ho Sakey
Jo Na Mil Saka Usey Bhool Ja
Na Ker Waqt Barbaad Purani Yaadon Mein
Khul Ker Hans Le Aur Gham Ko Bhool Ja
Zindagi Naam Hai Aagay Bharne Ka
Kal Ko Kal Hi Rehne De Sab Bhool Ja
Mujh main Khushbu basi "Usi" ki hai,
Jese ye Zindagi Usi ki hai...

Wo kahin Aas-Paas hai Mere,
Ho Na Ho,Ye hansi "Usi" ki hai...

Ab to Ye khwab b nahi Mere,
Ab to ye Neend b "Usi" ki hai...

Ya to koi Kami nahi Mujh main,
Ya phir Mujh main kami "Usi" ki hai...
Na khushi hAy FatAh-e- Azeem ki
Na shAkisat Fash ka malal hy.


meri BeBasi hAy kamal ki
Na arooj hy Na zawal hy
jis ne sikhya humen muskurana zindgi main..

bardi harat hoti hai jate lamhe rula kr kaon gaya.
Mohabat k Talash me Pyar Na Mila,

Dubti Hui Naav Ko Kinara Na Mila.

Kuch Log Thode Achhe Zarur Lage,

Magar Tumse Achha Koi Yaar Na Mila.
Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sakay,
Tere Yaad Mein Rat Bhar So Na Sakay,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri,
Bass Yehi Soch Kar Hum Roo Na Sakay
Ham ko maloom hai kaya dast e hinaie de ga
qurb boyen ge to fasl e judaie de ga
aankh neelam ki jism kaanch ka dil pather ka
apny shaahkar ko kon itni safaie de ga
Be simt hawaon ko nhn roka karty..

Jo beet gaya osko nhe socha karty.

Suraj say kya pochty ho tapish iski.
"Wasi"

Dhoop say smandar nhn sookha karty.
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hai,
meri har aah har dard samjhti hai,
pata hai majbur hai tu aur main bhi,
phir bhi aankhen didar ko tarasti hai
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee