Kab talk pyas k sehara main Jhulaste jayen,

Kab talk pyas k sehara main Jhulaste jayen,
Kab talk pyas k sehara main Jhulaste jayen,
Ab ye baadal jo uthe hain tou Barasate jayen

Kaun batalaye tumhen kaise vo mausam hain k jo,
Mujhse hi duur rahen mujh men hi Basate jayen

Ha`aye kya log ye Aabaad huye hain mujh main,
Pyaar k lafz likhen,Lahaje se Dhasate jayen

Aaiina dekhun tou ik chehare k Be-rang Nuquush,
Ek Nadida sii Zanjiir main kasate jayen

Juzz muhabbat kise Aaya hai muyassar ummiid,
Aisa lamhaa k Jidhr Sadiyon k raste jayen
  

Jun, 01 2010     465 chars (3 sms)     2897 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

main kis terha zikar karo us muhbat ka.

jo meri maa ne mujh se bachpan main ki thi.
Pairh ko deemak lag jaey ya adam zad ko Gham...






Donoo''n hee ko Amjad hum ne Bachtay Dekha kam...
Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana ,

Na jaane kahan kho gaya vo zamana ,

Tumhen bhuulane ki ma koshish karunga ,

Ye vaada karo ke na tum yaad ana ,

Mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai ,

Tumhen bevafaa kah raha hai zamana ,

Khudara meri qabr pe tum na aana ,

Tumhen dekh kar shaq karega zamana .
Un he lafzoan k aasq bunty hien
Jo zuban say ada nahe hoty
[:::: Tum ::::] ==rula== ==do==

hame koi gum nahi”[:::: Tum ::::] ==bhula== ==do==

hame koi gum nahi” ==Jis== ==din==

hum tum ko yaad

na karen [::::: to :::::]

Samaj lena shayad <<<==is==<<<

=dunya me hum= {::::nahi:::}

agar wo wajah na pochay tu ik baat kahon"mohsin"

bin us k ab hum say bhi jiya nahi jata..
kal jase ataa tha apne husan pe ghroor.

aaj wo mare payar ki beakh mang raha hai.
Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir?
us nay door rahnay ka
mashwara bhi likkha hai
sath he muhabbat ka
wasta bhi likkha hai
us nay yah bhi likkha hai
meray ghar nahin aana
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likkha hai
kuch huroof likkhay hain
zabt ki naseehat mein
kuch huroof mein us nay
hosla bhi likkha hai
shukriya bhi likkha hai
dil say yaad karnay ka
dil say dil ka hai kitna
faasla bhi likkha hai
Phoolon Ki Tarha Lab Khol Kabhi...
Khushboo Ki Zubaan Mein Bol Kabhi.....


Yun toh gham sab ki zindagi mein hai
Zabt lekin kisi kisi mein hai
Us ne sun kar ghazal kaha meri
Kitna dukh teri shayari mein hai....
Kuch dost pal bhar me bhula diye jate hain
kuch dost pal-pal yad aatey hain

hum apse yahi puchna chahte hain
k dosto ki is qataar me hum kahan aatey hain
Jab Bhi "Dil" Na
Umeed Hota Hy

Teri Janib Mazeed
Hota Hy

Pyar Izhaar Ka Hii
Naam Nahi

Pyaar Chup Reh k Bhi
Shadeed Hy ...