kon kheta hai k dour hain hum
woh bhe tou wahi aasma dekhti hogi
jo main dekhta hoon
woh bhi tou wohi suraj dekhti hogi jo main dekhta hoon
farq hay tou hay bus itna
farq hay tou hai bus itna
woh wahan chand dekhti hay
aur main chand me uski surat dekhta hun
Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bh
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain,
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbur hai tu bhi aur main bhi,
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Chahron mein Ek chahra khojne ki aadat ha
Mujh ko Bheer mein beth kar sochnay ki aadat ha
Gila ho kabhi to keya un se sitam giri ka ke jinhen
Phool Shakhon se nochnay ki aadat ha.
Meri muhabbat mein ik yeh mojza bhi ho raha hai
Jisay mein chah raha hoon wo mujh say juda ho raha hai
Ussay lakh bhulana chah raha hoon bazahir tu mein
Par wohi meri duaon mein sar-e-harf-e-dua ho raha hai
Kya ussay ab zaroorat nahi meri diwangi ki
Kyou aisa ehsaas mujhay k wo be-wafa ho raha hai
Ab kyun oss din ki fiker kero,
jab dil tokray tokray hojaiga,
or saray gham mit jaingay,
tum khof o khatar say der guzer kero,
jo hona hay so hona hay,
hasna hay tou hasna hay,
ger rona hay tou rona hay,
tum apni kerni ker guzero,
jo hoga dekha jaiga.
Baatein aisi karo ke jazbaat kabhi kam na ho;
Khayalat aise rakho ke kabhi ghum na ho;
Dil me apni bas itni se jagah dena hume;
Ke khali-khali sa lage jab hum na ho