Kuch Khatakta Tou Hy

Kuch Khatakta Tou Hy
Kuch Khatakta Tou Hy Pehlu Mein Mere Reh Ker

Ab Khuda Janey Yaad Hy Teri Ya Dil Mera ... !!!
  

May, 29 2010     96 chars (1 sms)     2175 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Manzil Zara b Door Na Thi Us Nishan Se

Thak k Gira Tha Jahan Parinda Uraan Se

Barish ki Dua is Liye Me Mangta Nahi

K Darya Bohat Qareeb He Mere Makan se..
aarzoo chaand ki nhe mohsin....

mein mitti ka hi diya hota...!!
Tu Chaley Saath Tou
Aahat Bhi Na Aaye Apni

Darmiyan Hum Bhi Na Hon
Yun Tujhy Chahei''n Tanha ...
Main Tujhey Chaahta Nahin Leikin!!

Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Jab Paas Tu Nahin Hoti
Khud Ko Kitna Udaas Paata Hoon
Gham Say Apney Hawas Paata Hoon
Jaaney Kya Dhun Samaai Rehti Hai
Ikk Khamoshi Sii Chaai Rehti Hai
Khud Say Bhi Guftaguu Nahin Rehti
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Shab Ki Taweel Khalwat Mein
Tairey Awqaat Sochta Hoon
Kon Say Phool Tujh Ko Bhaatey Hain
Rang Kya Kya Pasand Aatey Hain
Kho Sa Jaata Hoon Tairi Samaat Mein
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Ehsaas Say Nijaat Nahin
Sochta Hoon To Ranj Hota Hai
Dil Ko Jaisey Koi Dabota Hai
Jiss Ko Itna Sarahta Hoon Main
Jiss Ko Iss Darja Chaahta Hoon Main
Uss Mein Teri Sii Koi Baat Nahin
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin!!!
zindgi tum yaheen kahein rehna.

main zamana badal k aata hon..
Bhoolna tumhe na assan hoga..

jo bhule tumhe vo nadan hoga..

Aap to baste ho rooh mein hamari..

Aap hume na bhule ye aapka ehsan hoga..
WO CHup B Rehta Hai To Mujhko sunai Deta Hai
Her Ek Chehray Mein WO Chehra Dikhai Deta Hai
Mujhe B Ronaq-E-Dunya Pasand hai Lakin
Tera Khial Mujhe Kab Rehai Deta Hai
Pas Rah Kr Judai Ki Tujh Sy
Door Ho Kr Tujhy Talaash Kiya
Main Ny Tera Nishan Gum Kr K
Apny Ander Tujhy Talassh Kiya
teray ird gird hain ghomtay,meri zindagi k mammley...

tujhey dhund lenay k shauq mein,mai ne apna aap ganwa dia.
Hai Juda Hona Hi Thehra To
Giley Kaisey Shikayat Kya
Juda Ho Jayein Chupkey Say
Na Tum Bolo Na Main Boloon
Humarey Bol Parrney Say
Judaai Phail Sakti Hai
Hawaon Mein
Fizaon Mein
Judaai Zaat Mein Bhar Lein
Chalo Hum Iss Tarah Kar Lein
Kisi Sunsaan Rastey Ke
Kisi Bhi Morr Par Dono
Juda Ho Jayein Chupkey Say
Na Tum Bolo Na Main Boloon
Humarey Bol Parrney Say
Judaai Phail Sakti Hai ...!!
Tere mohabbat mein meri aakhri saans tak mitadoon,
Bas ek pal uss aakri saans se pehle , mere dil ki baat.. tujhse ikraar
kar jaoon.
Us k Kehny Par Us Ki
Tamanna Bhi Chorh Di
Hum Ny

Zara Hum Bhi Tou
Dekhai''n Kon Chahta
Hy Usay Humari Terha !!!