~ YAAD ~

~ YAAD ~
~ YAAD ~

Shab k

Pichley Peher Tak

Main Leta Raha

Hichkiya''n

Aur Phir

So Gayi''n Tum ...
  

May, 29 2010     107 chars (1 sms)     3260 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tujh ko khaber na ho gi k danish k bawjood.

barson tare khyaal main pagal rahe hain hum.
"Na wajood apna, na rooh apni
Bas ik tamasha yeh zeest thehri
Na dil lagi main sakoon paya
Na aashqi main qarar paya
Na wasl lamhay hi raas aaye
Na firaaq hi ghum guzaar paaye
Ajab yeh chahat k marhalay hain
Na jeet paaye na haar paaye
Na hi yaadon ki dhund utri
Na dil k daaman ko jhaar paaye
Na aankhain khawabon ko dhoond paaien,
Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
Bay-hunar zamaanay may…

Raaeygaa’n safar apna…

Khauf k bayabaa’n may…

soojhhta kuch bhi nahee’n…

Bad-gumaani palti hay…

Saaeybaa’n hi jab apna…

Munharif ho chhaao’n say…

Justujoo parraao ki…

Bay-samar si lagti hay…

Bay hunar zamaanay may…

Raaeygaa’n safar apna….!
Tn ne dekha he nahi naksha meri Tanhayi ka ...

Ik qayamat hy jo har shaam Guzar jati hy.
~ SHIKWAY ~

Dur Reh Kr Qareeb
kitny Hyn

Faasly Bhi Ajeeb
Kitny Hyn

Dard-e-Dil Ki Dawa
Nhi Werna

Is Jahan Main Tabeeb
Kitny Hyn

Umar bhar Saath Jo
Rahe Tere

Us k Achy Naseeb
Kitny Hyn

Kyun Na Aaya Main
Tere Sapno''''n Main ?

Mere Shikway Bhi
Ajeeb Kitny Hyn
Kaise Batau Use,

Nahi Isme Koi Meri Khata,

Khel Hai Ye Sitaron Ka,

Ye Chand Tu Use Bata;

Bandish Hai Ye Fizao Ki,

Aa Maangle Khuda se Ek Umar Duao ki
Kabhi subah ko yad aate ho.
Kabhi sham ko yad ate ho.
Kabhi kabhi itne yad aate ho
.Ki aina hum dekhte hai.
Nazar ap aate ho
Kal jis k hath main dikha tha ek phool. Aj wohi hath main khanjar lye huwye hain.
EK BAHANE SE AAPKO S.M.S KARTE HAIN,
HR PAL AAPKI KAMI KA EHSAAS KARTE HAIN,
ITNI BAAR AAP SAANS BHI NA LETE HONGE,
JITNI BAAR HUM AAPKO YAAD KIYA KARTE HAIN.
Chaahat dil mein hai pyaar aankhoon mein ,
Mohabbat hum mein hai aur tum hamare dhadkan mein.
Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna,
Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna
Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna,
Magar gham batna ho toh hume yaad karna.
Kaho ab Kia Kahon TUm Say!
Batao ab kia likhon tum ko!
Mujhay Tamheed do koi
Mujhay Umeed do koi
Naya ek lafz ho koi
jahan say baat chal niklay
meri mushkil ka hal niklay
Batao lehja kaisa ho
kay tum say baat karni hai
kaho ab kya irada hai
mujhay izhar karna hai
kay tum ko yeh batana hai
tum aksar yaad atay ho !!!