Ek ladki chali jaa rahi thi,
Ek ladke ne awaz di,
O deewani sun!
Tera dupata zamin say,
ghaseeta jaa raha hai,
Ladki boli O deewane
Tou kya jaane?
Yeh bhi apna farz nibha raha hai,
koi choom na lay,
Mere qadmoon ki mitti ko.....
Isi liye nishan mittata jaraha hai..
Barsaat ki bheegi raaton mai pir koi suhaani yaad ayi ,
Kuch apne zamana yaad aaya kuch unki jawani yaad aayi,
Hum bhool chuke they jisne Hume duniya mai akela chor diya ,
Jab gaur kiya tau ek surat jaani pehchaani yaad aayi..
kub kon kissi ka hota hai
sub jhote rishte natay hain
sub dil rakhne ki baten hain
sub assli roop chupate hain
ikhlas se khali log yehaan
lafzoon k teer chalate hain
ik baar nighahoon main akar
fir sari umr rulatey hain