Masroof Hain Din Raat Unhain Waqt Kahan Hai
WO Karain Humse Baat Unhain Waqt Kahan Hai
Wo Ponchain Meri Aankh Se Behte Hue Aansu
Ae Ronaq-E-Bersaat Unhain Waqt Kahan Ha
Zaroori to nahin jeene ke liye sahara ho
Zaroori to nahin hum jinke hain vo hamara ho
Kuch Kashtiyaan doob bhi jaati hain...
Zaroori to nahin ke har Kashti ka koi kinara ho....
Kis Baat Ki Sazaa
Wo kis baat ki mujhko sazaa deta hai,
Meri muskurati hui ankhon ko chalka deta hai.
Ek zamane se khabar bhi nahi teri,
Koi is tarah bhi kya apne pyaar ko bhula deta hai
Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain
Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deete Hai
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain
har bicharnay walay ki tarah
us nay bi yahi dua di mujay
sada khush raho muskraty raho
lakin ......
wo kia janay
yadoon kay jaal ma phasnay walay
muskura to saktay hain
khush nahi reh saktay