Teri chahat ki girhain kholta hun Sar e masrgan sitaray tolta hun

Teri chahat ki girhain kholta hun Sar e masrgan sitaray tolta hun
Teri chahat ki girhain kholta hun
Sar e masrgan sitaray tolta hun

Meiri sanson me teri khushi hy
Mein tanhayi me tujh se boltahun

Dhadkanay preet me tez hoti hain
MOHABBAT ke phool ko piyar se khilata hun

Chum leta hun labon ko chah me
Youn khud ko madh hosh karta hun
  

May, 27 2010     282 chars (2 sms)     2164 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

parhna Hai to insanon ko Parhne Ka Hunar Sikho


Har ek Chahre Pe Likha Hai Kitabon se Ziada.
iss se behtar kya saza thi jo wo deta mujh ko,,,

amir

kar gya mujhe tanha magar apna kr k..
Bichartay Wakt Us Ne Kaha Tha,

Na Sawal Krna Na Jawab Milay Ga,

Mujhe Bhol Jana Qrar Milay Ga,

Hum Us Mukam Pr Thay

Na Sawal Kia Na Jawab Mila.

Na Bhool Sakay Na krar Mila
dil ka bazar mian dolat nahi dekhi jati.....
ho jaye pyar toh surat nahi dekhi jati..
ek muskurahat pe do alam ko nichwar kar do......
Maal acha ho toh qeemat nahi dekhi jati.....
Pyar nhi likha tha kismat me
to usne pyar kyu karwa diya.
Shayad tadpte hue dekhna chahte the wo kisi ko,
jiske liye usne hume mohra bana diya.
Yahan Mazdur Ko Mernay Ki jaldi Youn B hai Mohsin...

K zindagi Ki KAshmakush Main Kafan Mehnga na Ho Jaey...
kitabon se Daleel Doon ya Dil ko samney Rakhon




Wo mujh se Pooch Baithay Hain MohabAt kis ko Kehtay Hain
Dilse teri yad ko juda to nahi kia

Rakha jo tujhe yad bura to nahi kia

Hum se log hain naraz kis liye

Hum ne kabhi kisi ko khafa to nahi kia.....
hamen pyar ka hisab nahin ata.

unka palatkar jawab nahin ata.

hum hain k unki yad me sote tak nahi,

aur unko sokar bhi hamara khwab nahi ata.
apnay ghamoo ki yun numaish na kar,

apnay naseeb ki yun azmaish na kar,

jo tera hai teray dar per khud aega,

roz usay panay ki khwaish na kar.....................
Tum meri soch ho koi or tmhe soche Q
tum meri chahat ho koi or tmhe chahe Q
tum meri nazar ka aaina ho koi or tmhe dekhe Q
tum meri dua ho koi or tmhe mange Q,
Kathin he rah guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar tori door saath chalo

tamam umar kahan saath deta he
ye jaanta hoon magar'' thori door saath chalo

nashe main choor hoon main b tumhain b hosh nai
bara maza ho agar thori door saath chalo

ye ek shab ki mulaqaat b ghanimat he
kise he kal ki khabar thori door saath chalo

abhi to door hain chirag rahon ke!!!
abhi he door sahar thori door saath chalo

tawaaf e manzil e janaan hamain b karna he
faraz tum bhi agar thori door saath chalo.