muhabbat SMS Messages224 messages

Kabhi Zindgi ka naam ha muhabbat.
Kabhi moat ka pegham ha muhabbat.
Kabhi muhabbat se milti ha khushi.
Kabhi Gham ki sham ha muhabbat.
Kabhi muhabbat aansoun ki barish ha.
Kabhi hansi ka jaam ha muhabbat.
Kabhi hai muhabbat Dil ki jalan.
Kabhi Dil ka arman hai muhabbat.
Wohi Takrar Lafzon ki ,

Wohi andeshay fursat ke,

Wohi har baat pe ranjish,

Wohi har baat pe larna,

Wohi kuch bolti aankhen,

Wohi Chup chap sa lehja,

Wohi bechain si hulchal,

Wohi khamosh ho jana,

Sabhi asrar kehtay hein,

Tumhen Mujh se muhabbat ha,

Tumhen Mujh se muhabbat ha,
Baghair us k udaas hoon main
Badalti rut ka kiyaas hoon main
Bujha de apni muhabbatoon se
Sulagti sadion ki piyaas hoon main
Mujhe Tasleem hai tum ne muhabbat mujh se ki ho gi,
Zamane ne magar Izhar ki Mohlat na di ho gi,
Mein apne aap ko sulgha raha hon isi tawaqu par,
Kabhi to AAG bharke gi
Kabhi to ROSHNI ho gi.....!
Wo ek Shakhs k jis se shikayaten theen bohat,
Wo aziz tha us se muhabbaten theen bohat,
Wo jab mila to dil mein koi Talab hi na thi,
Bichar geya to hamari Zaruratien theen bohat,
Wo yon mila ke jaisay kabhi mila he na tha,
Hamari zaat pe uski inayaten theen bohat,
Hamen khud apnay hi yaron ne kar diya ruswa,
Ke baat kuch bhi na thi or Wazahatein theen bohat,
Har mor pe hum totetay bikhartay rahe,
Hamari rooh pe tanha qayamaten theen bohat.
Me Apne Aap Se Barh

Ker Kissi Ko

Kio Chahoo

Mujhhi Pe Khatam Hai

Kissa Meri

muhabbat Ka!
Wo muhabbat ki kuch aisy misaal rakhta hai....
K muj se Ziada hi mera khayal rakhta hai.....
Bina kahe hi mera har dard jaan laita hai.....
Mujh say lay kr mairy yaadain Sambhal rakhta hai.....
Hans k taal jata hai meri sab talkh baatoon ko.....

Wo DiL Ko JeEt LaInY MaI kAmAaL rAkHtA hAi.......
Chalo Tum hi muhabbat ki ibtida kardo
nafraton kay is dour mein wafa kardo
muhey louta do 1 baar mera dil
ya khud ko meri saanson mein faana kardo
Wo kehti hai k mujhay tum say muhabbat nahi
Tu batao phir
Wo mujhay apni rooh mein utarti kyou hai?
Wo mujhay apnay andar samati kyou hai?
Meray janay par roti kyou hai?
Mein rooth jaon manati kyou hai?
Tu batao phir
Kya yeh muhabbat ki nishani nahi?
Kya wo mujh say muhabat karti nahi?
Pass wo itna tha jaisay dil aur dharkan
Dekhta tu hum dono mein fasla bhi bohat tha
Milnay ki tarhan hum mil na paye thay kabhi
Mera aur uska rabta bhi bohat tha
Itnay arsay mein bhi usay mujh par aitbar na aya
Ye sach hai wo mujhay janta bhi bohat tha
Wo mil kar bhi na mil saka ye muqadar ki baat hai
Meinay duaaon mein usay manga bhi bohat tha
Ruswaai k dar say wo rakh na saka muhabbat ka bharam
Laikin yeh sach hai k wo mujhay chahta bhi bohat tha
Tujhe waqt ho tu ye bazi khel k dekh ly

Hai ajeeb nasha muhabbaton main shikast ka.....
Usko
Bade khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
Usne khamooshi se
Mere bahte huye ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kahte huye chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya