Baghair us k udaas hoon main

Baghair us k udaas hoon main
Baghair us k udaas hoon main
Badalti rut ka kiyaas hoon main
Bujha de apni muhabbatoon se
Sulagti sadion ki piyaas hoon main
  

Jun, 01 2010     128 chars (1 sms)     3352 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

isi chamn me hi hamara b ik zamana tha
yahin kahin koi sada sa aashiyana tha

nasib ab to nahi shaKh b nasheman ki
lada hua kbhi phulon se aashiyana tha

teri qasm are o jald ruthane vale
gurur-e-ishq na tha naz-e-aashiqana tha

tumhin guzr gaye daman bacha kr vrna yaha
vahi shabab vahi dil vahi zamana tha
Tum aksar..

Yaad aatay ho..

Or boht yaad aatay ho.

K yaadon k sabhi moti.

Meri umeed k aansoo.

Mere ye zabt k gohar.

In ankhon k samandar sai..

Meri palkon k saahil tak..

Chalay aatay hain chupkay sai..

na jaaney kion?

tum aksar yaad aatay ho..
Waqt ki nazakat to dekho,
Tammanaon ki hasrate bhi dekho,
keh gaya jo ye DIL khamoshi se,
Sun liya TUMne bhi usse chupke se!!
ye jo TUMHARa DIL hai na,
asman se bhi unchha hai,
samandar se bhi gehra hai,
jise me mehsoos kar raha hun sadiyon se..khamoshi se..
Aaj us ne Meri Mohabbat main Kisi ko Shareek kia to Ehsas hoa
...........Ya Rab.............
K tu Shirk krnay walon ko Muaaf ku nahi krta
Ye dosti chirag hai isey jalaye rakhna,
Ye dosti gul hai isey khilaye rakhna,
Hum rahey na rahey is jahan mein,
Bas hamari yaad dil me basaye rakhna.....
Tum Ko Azeez Jan Se Pyara Bana Liya..
Dil Ka Sukon Aankh Ka tara Bana Liya..
Ab Tum Wafa Karo Ya Na Karo Ye Tumhara Zarf..
Humne Tu Tumhe Zindagi Ka Sahara Bana Liya..

Tujh ko khabar nhi
tujhe yaad karty hain yar pal
tujhe he apne khayalon main
tashkeel kerty hain...
tere he khawab bunte hain...
zindagi ki safar main
tujhe he apna humsafar mante hain
inn Un dekhi Rahon main tuhge he
meherban paate hain
kia tujhe nhi malom ?
keh tum he meri Zindagi ho... !!!
Suna Hai Zindagi Imtehan Leti Hai

FARAZ

Par Yahan To Imtehano Ne Zindagi Lel
khwahish''n ka kaffila bhi ajeeb hi hai.

saghi

aksar wahi se guzarta hai jahan raasta nahi
Faraz Nay Is Khayal Say Tasbih Hee Tor Di

Kya Gin K Uska Naam Loon Jo Behisab Day
Aisa kerna k chand say kuch matii lana..
Us matii say dow putlay(statue) bna''na..
Ik teray jaisa..
Ik meray jaisa..
Un putloon ko phir tum tor daina..
Un say phir dow putlay bna''na..
Ik teray jaisa..
Ik meray jaisa..
Ta k kuch kuch TUM mein HUM reh jain..
Kuch kuch HUM mein TUM reh jana...!!
Kuch khawab hain jin ko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch loog hain ujaare dil waale
Jinhain apni mohabbat deni hai
Kuch phool hain jinko chunana hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neend baqi hai
Jisse bantana hai kuch loogon mai
Unko bhi to rahaat deni hai
Aae umer-e-rawan!
Ahista chal
Abhi khasa karz chukana hai.