muhabbat SMS Messages224 messages

Naya Ek RABT paida kyoon karen HUM?
Bicherna Hai to JHAGRA kyoon karen HUM?

Khamoshi se Ada ho RASM-E-DOORI...
Koi Hungama barpa kyoon karen HUM?

Ye Kaafi hai k HUM (HUM''TUM ) Dushman nahi hain...
Wfadaari ka DA''wa kyoon karen HUM?

Wafa,Ekhlaas,Qurbani,muhabbat...
Ab in Lafzoon ka peecha kyoon karen HUM?

Hamari he Tamanna kyoon karo TUM?
Tumhari he Tamanna kyoon karen HUM?

Kia tha Ahad jab Lamhon main HUM ne...
To saari Umr Efaa kyoon karen HUM?
Haqiqat Hai Yaqeen karlo, Main use BhoOl Ker Khush HOon
muhabbat mar Chuki Abb To, Main use Bhool ker Khush hOon

badalti raat Ki Wajha Se, Tabiyat kuch Bojhal Si hai
YuN mera haal Mat pooch main use BhOol ker KHush Hoon

meray lehejay per mat Chonkoo, meri Ankhon Main mat JhanKOo
Yun hairat se Na DekHOo, Main Use Bhool ker Khsuh hOon

tumhain kya wehem hai, kiun raat bhar milnay nahin atin
aye meri neend ki pariyo, main use bhool ker khush hoon

bhala kiun rooz baahain waa kiye mujh se milnay ati hai
tum us ki yaad se kehe doo , main use bhool ker khush hoon

udasi saray ghar main phelti jati hai ghum ban ker
dar-o-dewar per likhdoo, main use bhool ker khush hoon
muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai

muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai

muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waqf ho jane ko hai
muhabbat “DEAL“ Se Maawara Rishta Sahi
Phir Bhi
Chalo Ek DEAL Kertay Hain
Yeh Saraa Aasman Lay Lo
Mujhe Bus Woh Sitara Day Do
Tumharay Naam Se Jo Aasman Per Jhilmilata Hai
Mujhay Inn Guftugu Kerti Hui Aankhon Se Kiya Lena?
Mujhay Woh Un-Kahi Day Do
Jisay Sun“nay Ki Hasrat Main Hawa Tham Thum Ke Chalti Hai
Tumharay Reshmi Malboos Main Perti Hui Silwat
Tumharay Qurb Ki Dheemi Sulagti Aanch Si Garmi
Tumharay Paon Ki Aahat
Jo Tappti Dopaher Ko Sham Main Tabdeel Kerti Hai
Tumharay Paas Say Uth“ti Hui Khushbo
Mujhay Inn Sab Se Kiya Lena?
Magar Inn Sab Ke Badlay Main
Mujhay Iss Be-yaqeeni Se Rehaee Day Do
To Acha Hai
Hawaa Ke Doosh Per Rakhay Diyay Jaisay
Meray Bujhtay Huay Dil Ko
kaha tak raqs karna haiiiii
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua
Naseeb hon khushiyan tumhain
tum khush raho sada
Tum ko rahat milay ,
tum ko chahat milay
Tumhain saray jahan ki muhabbat milay
Jahan main sab se hon achay tumharay naseeb
Koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay
Dil ki har aarzooo poori Khuda karay
Tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay
Mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan
Dua hay bad tum ko kabhi gham na milay yahan ...
Tera saath mil jaaey tou sab dukh bhool jaaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

nichaawar khawaab kar doon gi terey har ishaarey par
kabhi peepal ki chaaon main kabhi nadiya kinaarey par
tumhain thandak ataa kar doon gi ik basaat ki manend
bikhartey chaand jharnoon main ujalti raat ki manend

mujhey tum se muhabbat hai main logoon ko bataaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

main chaahon gi tumhain janaan umangon se ujaalon tak
khudi ke dasht se le kar naey janmon ke saalon tak
Meri thandi si tanhaae sulagti raat jaisee ho
mujhey bas saath le jao bhaley baraat jaisee ho

tmharey surkh jorhey main hi dulhan ban ke aaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs
Kaha Main Nay Kahan Ho Tum?
Jawab Aya Jahan Ho Tum...

Mere Jeevan Say Zaahir Ho
Mere Gham Mein Nihaan Ho Tum....

Meri Tou Saari Duniya Ho
Mera Sara Jahan Ho Tum.......

Meri Sochon Ka Mehwar Ho
Mera Zor-e-Bayaan Ho Tum......

Main Hoon Lafz muhabbat Hoon
Magar Meri Zuban Ho Tum...
Aainda maat anna tum kabhi bhi yaad mujhye
Tere yadoon nye ker diya bar-baad mujhye

Na duniyta ke sitaam Na qismat ki badnasibi
Kuch nahi teri muhabbat ke siwa yaad mujhye

Atte hain nazar har taraf wiranye hi wiranye
Dikhai nahi deta SHARIM koi ghar ABAD mujhye
rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat rakh ho jane ko hai
Jo mere dil se jur kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai

muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raaste socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai

muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.