hussain SMS Messages88 messages

Yazeed Mausam e Isyaan ka La-ilaaj Marz
hussain Khaak ko Khak e Shifa Banata Hai

Yazeed Aaj bhi bantay hai log Koshish Say
hussain Khud nahi banta Khuda Banata Hai
Momin ki har sada ko taira intezar hay
eman ki baqa ko taira intezar hy
phr sajda e hussain ki hayat hay deen ko
aa ja ka la ilha ko taira intezar hy
parda hata k daikh mairey daur k hussain
haan aab bhi karbala ko taira intezar hy
Baichain zulfiqar hy beetab murtajis
Abbas e bawafa ko taira intezar hy
Tu hi suna sakay ga sahi maqtal e hussain
Har majlis e azza ko taira intezar hy
Ghum e hussain har eik shahair har eik dariya gaya
Jahan qafila na pohncha wahan ghubbar gaya
Thi karbala me jang agar shahzadun ki
Qalam me dum hy to likhoo hussain har gaya
Khushi ki bazm main bhi ghum talaash kertay hain,
Dil-e-BATOOL s.a ka marhum talaash kertay hain,
Maza mila hay aazaa-e-hussain a.s se itna,
Hum eid main bhi muharram talaash kertay hain
Ye Aitbaar Meri Zindagi Ka Haasil Hai
Ibaadaton Ke Safar Ki hussain Manzil Hai
Namaz Main Bhi Tasavvur hussain Ka Rakho
Ya Ye Kaho Ke Nabhi Ki Namaz Baatil Hai
Kala Kala Na Kar Zeada Waiz
Jo Kehta hoo Ghaur Se Sunle
Gar Aaj Gham e hussain Me Na Roya
To Kal Mehshar Me Girgirana parega
Hassan ko Badshah khas o Aam kehte hain
Ali ka Naaib o Qaim Muqaam kehte hain
Daleel aik hi kafi hai unki Azmat may
unhe hussain bhi apna Imam kehte hain
Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki
Farzand-e-Ali Imam hussain a.s. Ne Fermaya.

Aisay Shakhs Per Zulm Keray Say Muhtat Reho Jiss Ka ALLAH K Siwa Koe Na Ho
Kul AMBIYA Ki Wafa Ko
hussain Kehte Hyn

KHUDA Ki Khaas Ada Ko
hussain Kehte Hyn

yazeed Naam Hy Dunya Ki
Kul Nijasat Ka

Taharato''n K KHUDA KO
hussain Kehte Hyn ...
Saba Bhi Guzry Jo Karbala Se
Tou Us Ko Kehta Hy Arsh Wala

Tu Aur Dheery Guzar Yahan Pr
Mera hussain So Raha Hy
Kausar k Saaqi ka wo
Nawasa hussain tha

Karbala k dasht main
pyasa hussain tha

Baadal yazeediat k jo
pheley chaar suu

Un main chamakta ek
sitara hussain tha

Karta wo kese haath
pe bait yazeed k

Us waqt sab se
Arfa-o-aala hussain tha

Hilney Laga Tha
Arsh-e-ELAHI bhi Us Ghari

Jab Karbal Ki Rait Pe
Tarpa hussain tha

Pardes main Shaheed
jisay kr dia gaya

Wo MUSTAFA (S.A.W) ki
aankho''n ka Tara hussain tha