Manzil SMS Messages170 messages

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-Manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Lambi Hai Manzil Door Hai Kinara.

Jaanay Q Nehi aaya SMS Tumhara.

Bhool Gay Ho Number Ya Naam Humara.

Ya Koe Mil Giya Hai Hum Say B Pyara.
*~ Baba Bhullay Shah ~*

Us Nal Yari Kadi Na Layo Jis Nu Apne Te Dharor Hove,

Maa Baap Nu Bura Na Akhiyoo Bhawan Lakh Uhna Da Kasoor Hove,

Bure Raste Kadi Na Jaiyo Chahe Knev Manzil Dor Hove,

Rah Jande Nu Dil Kadi Na Deyo Chah Lakh Moh Te Noor Hove,

Dosti Sirf uthe Kryo Jithe Dosti Nibahne Da Dastoor Hove.
Thought Of The Day :)

Parindon ko milegi Manzil ek din,
ye faile hue unke par bolte hai
wohi log rehte hai khamosh aksar,
zamane mein jinke hunar bolte hai
Zindgi ki sabse bari sachaie
Kabaristan ke bahar board par likhi thI,

"Manzil to meri yahi thi,
Bus ZINDAGI guzar gayi meri yahan aate aate... ;->
Zindagi me kamyabi ki
Manzil k liye
KHWAB zaruri hai !!
Aur khwab dekhne k liye
NEEND !!
To apni Manzil ki pehli sidi
chadho !! Aur .....
SO JAO!! GUD NITE !!!princess

0

0

0

0
.shhhhhhhhh.I"m walking slowly,bcoz u might be sleeping,
I"ll just leave my message 4u"GOOD NIGHT & SWEET DREAMS"..
Zindagi me kamyabi ki Manzil k liye KHUWAB zarori hai
Or khuwab dekhne k liye NEEND!
Tu apni Manzil ki pehli siri charho!
Aur. . . . ,
So Jao
"GOOD NIGHT".
tumhain jana zarori hay .........
chalo phir is terhan ker lo
tum apnay rastay ho lo
naae Manzil koi dhondoo
naae dunya basaao tum
mujhay kuch dair rukna hay
yahan kuch kam kernay hain
yahan yadain hain kuch mairee
wo kuch beetay howay lumhay
wo anchal say giray thay ju
bikher ker dor tuk
mujhko paraishan ker rahay hain ju
unhain ik jaah kerna hay
kahain par dafun kerna hay
muhabbat kee qaber per ik naya qotbaa lagana hay
phir is kai bad mujhko lout jana hay
ab itnay kam hain janaa
tumhain jaldi hay tum jao
mujhay kuch waqt lag na hay
yai mah-o-saal hon shayad
ya shayad hon kaee sadyaan
tu phir kub tuk yahan baithee raho gi tum
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagao ge, Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Rah Se Jaaker Dekho

Bazm Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheron Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere Khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
Meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey
dariyaa kaa saahil ho
puure chaaNd kii raat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
pariyon kii mahafil ho
koii tumhaarii baat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye narm mulaayam ThanDii havaayen
jab ghar se tumhaare guzaren
tumhaarii Khushbuu churaayen
mere ghar le aayen


kabhii yuuN bhii to ho
suunii har Manzil ho
koii na mere saath ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye baadal aisaa TuuT ke barase
mere dil kii tarah milane ko
tumhaaraa dil bhii tarase
tum nikalo ghar se


kabhii yuuN bhii to ho
tanahaaii ho, dil ho
buuNden ho, barasaat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho..........
Yeh Zindagi barri ajeeb si..
Kabhi gulzaar si..
Kabhi bay-zaar si..
Kabhi khushi hamaaray saath saath..
Kabhi ghhamo''n ki barsaat si..
Kabhi Toofano''n may bhi hain raastay..
Kabhi Manzilo''n ka pata naheen..
Kabhi do qadam pay zindagi..
Kabhi sadiyo''n tak intezaar si..
Kabhi her pal imtehaan hai..
Kabhi bin maangay Inaam si..
Kabhi kuch naheen..
Kabhi sab kuch si..
Yeh Zindagi barri ajeeb si..!!