Manzil SMS Messages170 messages

special word for friend
Do dosto k dimag bilkul railway k track ki tarah hote he,
jo kabhi mil nahi sakte,
lekin wo hamesha sath sath chalte hue dosti ki gadi ko apni Manzil tak pahuchate he.
Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi

Aap Jese Dost Jabse Mile
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Zarurat Nahi
yeh kaisee hai hawa chali k Manzil lagti door hai,
kapdey, makaan kee baat naa poochoo roti b ab to door hai,

"kaun kheil raha hai kheil sarey" kaun yahan bai noor hai,
Lao inqlab Pakistanio k yahan yehi behtar dastoor hai
H:Hasraton ki akhri Manzil

U:Ummidon ki panah gah

S:Sajda-e-Ishq ki intaha

S:Sabar ki intaha

A:Akhirat main bakhshish ka wahid rasta

I:Insaniat ki Darsgah

N:Nawasa-e-Rasool(S.A.W)
H:Hasraton Ki Akhri Manzil
U:Ummidon Ki Panah Gah
S:Sajda-E-Ishq Ki Intaha
S:Sabar Ki Intaha
A:Akhirat Main Bakhshish Ka Wahid Rasta
I:Insaniat Ki Darsgah
N:Nawasa-E-Rasool(S.A.W)
Ye Aitbaar Meri Zindagi Ka Haasil Hai
Ibaadaton Ke Safar Ki Hussain Manzil Hai
Namaz Main Bhi Tasavvur Hussain Ka Rakho
Ya Ye Kaho Ke Nabhi Ki Namaz Baatil Hai
Abhi Ye Na Pooch K Manzil Kahan Hai

Abhi Tou Bas Safar Ka Irada Kia Hai

Na Hoarunga Main Hosla Zindagi Bhar

Ye Kisi Se Nahi Khud Se Wada Kia Hai
Agar Mujhese Mohabat NAe to Rokte Q Ho,

Tanhai me Mere Bare Mein Sochte Kiyun Ho,

Agar Manzil Judai HAi to jane do mujhe ko,

Lot K Kab Aaoge Poochte Q ho...
Magar yeh ho na saka aur ab yeh alam hai
K tu nahi tera ghum teri justaju bhi nahi
Guzar rahi hai kuch es tarah say zindagi jaisay
Zamanay bhar k dukhon ko laga chukka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjani rahgawaron say
Muhayab saye meri simat bhartay atay hain
Hayat-o-maut k par hol kharzaron say
Na koi jada Manzil na roshni ka charag
Bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri
Enheen khalaon mein reh jaoo ga kabhi kho kar
Mein janta hoon meri ham-nafas magar youn hee
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
Zindagi mohtaz nahi Manzilo ki,
Waqt har Manzil dikha deta hai.
Marta nahi ko kisi se juda hoke,
Waqt sabko jina sikha deta hai
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-Manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Jaane Kya Hai Dil Ke Andar Jo Chupke Say Toot Raha Hai
Ek Meherbaan Ka Haath Jaise Haathon Say Choot Raha Hai

Lamha Lamha Guzar Ke Dafan Ho Raha Hai Seene Mein
Seh Kar Ye Dard Kuch Ajab Maza Aane Laga Hai Jeene Mein

Jaane Ye Kis Rehguzar Pe Qadam Humne Barhaaye Hain
Jaana Tha Kis Manzil Par, Jaane Kis Aor Nikal Hum Aaye Hain

Ek Khalish Hai Dil Ko Ghairey, Ek Ajab Si Khaamoshi Chaayi Hai
In Chubhti Tanhaaiyon Mein Aaj Yaad Teri Bohat Aayi Hai !!