yadd SMS Messages4 messages

Ajeeb Lagti Hai Sham Kabi Kabi,Zindagi Lagti hai Bejaan kabi Kabi,Samajh aye To Humein Bhi Batana K!!Que Karti Hain yaddien Pareshan
.........Kabi Kabi.........
mein roi tu nahi hoon"
na jana kyon mera kaajal
jab bhi dalo ankh mein
ab aksar phale jata hai
mein roi tu nahi hoon......


tum tu janatay ho in dinoon
boht hi thand hoti hai
tab hi hai naak surkh mere
mein roi tu nahi hoon........


kaha tu hai youn hi bus
bheega hai anchal k kona
choro tum fikar mat keroo
mein roi tu nahi hoon.......


nahi,odass kab hoon mein?
ziada kaam k bays
thaka-wat ho hi jati hai
mein roi tu nahi hoon..........


eid aye hai , wo ab bhi
nahi ata tu na ay
ab is ki yadd mein dekho
mein roi tu nahi hoon........


bata dena is ko ja ker
kahin khoosh-fahmi na koi palay
waisay hi surkh hain ankhain
mein roi tu nahi hoon..........
Sochta Hoon Jab Bhi Tumhare Bare Main
Aksar yadd Ati Hain Tumhari Ankhaian

Wo Gehre Hare Samnder Jaisi
Koi Raz Chupai Tumhari Ankhain

Khamosh Rehtain Hain Lab Ye Tumhare
Par Sab Kuch Kehti Hai Tumhari Ankhain
K kuch baatein yon bayan karte ho

Har lafz apnana parta hai

K lakh banae bahane hum

Har bar batana parta hai

K chahte hai hum tum ko

Har bar jatlana parta hai

K mushkil hai jeena bin tere

Har bar samjana parta hai

K apne sub jazbaton ko

Har bar dabana parta hai

K teri baatoon se hud ko

Har bar bahlana parta hai

K teri yaddoon ko dil se

Har bar mitana parta hai

K kuch baatein yon bayan karte ho

Har lafz apnana parta hai