payas SMS Messages11 messages

Maine usy kitni bar kaha ha k din ma 5,6 glass pani pya karo

Fraz!

Lekin



wo phir b kehti ha k

MERA TAN MAN payasA CHANA WE TERE pyar da...!
Jo khayal thay na qayas thay wohi log hum se bichar gay
Meri zindagi ki jo aas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein manta he nahi yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay har tarah say jo raas thay wohi log hum se bichar gay
Mujhay lamha bhar ki rafaqaton k azab or sataen gay
Jo meri umar bhar ki payas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh khayal saray hain arazi yeh gulab saray hain kaghazi
Gul-e-arzoo ki jo baas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein kar saka na qabool mein wohi shareek-e-rah-e-safar huway
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh raat din meray sath hain wohi ajnabi k ajnabi
Who jo dharkano ki assas thay wohi log hum se bichar gay
barhayin meri payas ko aksar teri ankhain
sahra mera chahra hay..samandr teri ankhain

mumkin ho tu ik taza ghazal aur b kah lon
phir orh na lain khawb ki chadar teri ankhain

yun daikhty rahna usy acha nahi mohsin
wo kanch ka paikar tu pathar teri ankhain
meri zindgi k raz mai ek raz tum b ho.......
meri bandgi ki payas mai ek pays tum b ho...........
tum kya ho?
kuch ho ya nahi ho........
meri zindgi k KASH mai ek KASH tum b ho.....!!!!1
Alfaz ki shakal main ahsaas likha jata he.
Yani pani ko bhi payas likha jata he.
Mere jazbat se waqif he maira qalm.
Main pyar likhon to taira nam likha jata he.
taalash meri thi aur BHATAK raha tha wo.
dil mera tha aur DHARAK raha tha wo.
PAYAR ka taaluq ajib hota hai.
payas meri thi aur SISAK raha tha wo.
payas ki betabyon ko kis terha samjhe ga.
jis ne sahra khareed kar aik samnder beach daya.
tu ne acha hi kua pathron k shahr main ane se pahle.
kanch ka gaher baech kar.
ae rab tera insaaf bhi kesa hai alam-e-haqaqi main,

samandr bhi use jase payas nahi or sahra use daya jase payas hai.
Aaj ghum-e-tanhai mia koi meri ankhon se ansuon k sath gir rha hai...

agar wo shakhs bhut azeez hai tumhe tu un ansuon se bujha lo apni payas...
''Bus itna he Kaha tha Barson ka payasa Hon FARAZ...



Us nay Pipe Moun me dal kr motor hi chala dali..''
tu kisi aur ke leye hoga samander-e-ishq Faraz,

Main tu tere sahil se roz payasa guzar jata hon.