khoka SMS Messages2 messages

ye kooche ye neelaam_ghar
dil_kashii ke
ye luTate hue kaarawaaN
zindagii ke
kahaaN hai kahaaN hai
muhaafiz Khudii ke sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai ye pur_peNch galiyaaN ye
beKhwaab baazaar
ye gum_naam raahii ye sikkoN
kii jhankaar
ye ismat ke saude ye saudoN
pe takaraar sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai ta'ffun se pur_neem roshan ye
galiyaaN
ye masalii hu_ii adh khulii zard
kaliyaaN
ye bikatii hu_ii khokalii rang-
raliyaaN sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai zaraa mulk ke rahbaroN ko
bulaao
ye galiyaaN ye kooche ye
manzar dikhaao
sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq ko laao
sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai
Kayi Zulm Bhare Raaz Chupaatin Hain Yeh Aankhein
Aiina Dekh Kar Khud Se Dar Jaatin Hain Yeh Aankhein

Shayd Suna Ho Inki Araaish Ka, Toote Sapnon Se Sanwarti Hain
Bheege Aansuon Se Khud Ko Sajaatin Hain Yeh Aankhein

Yun Kahin Dikh Na Jaaye Kitna Dard Basaa Hai Inmein
Har Ek Se Nazrein Churaatin Hain Yeh Aankhein

Yeh Tamanna Rehti Hai Dil Mein K Woh Laut Aayenge
Rasta Tak Tak Kar Khud Ko Behlaatin Hain Yeh Aankhein

Badnaam Ho Gayin Yeh Unki Dewaangi Mein Kho Kar, Par
Unki Khaatir Har Bughz Nigaah Seh Jaati Hain Yeh Aankhein

Woh Nahi Aaya, khokar Usse Jaane Kaise Yeh Jee Leti Hain
Aakhir Bandh Kyon Nahin Ho Jaatin Warda Teri Yeh Aankhein