Paana SMS Messages16 messages

Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Se,
Pyar Chupta Nahi Chupane Se,

Paas Aate Ho Chhute Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se,

Pyar Dil Me Hai To Lao Zubaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se,

Tumhe Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhe Ganwane Se...

Chalo Ek Dua To Apni Puri Hui,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se,

Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Moti Lutaane Se,

Karo Koshish Ki Kurabatein Hi Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hai Badhane Se,

Kya Sunayein Kisiko Raaz-E-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se,

Bhool Jao Kar Ke Achha Hai
Ehsaan Rehta Nahi Jatane Se...
Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Say,
Piyaar Chupta Nahin Chupane Say.


Paas Aatey Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Say Kabhi Bahaaney Say.


Piyaar Dil Mein Hai To Lao Zubaan Pey,
Aag Badhti Hai Ye Bujhaaney Sey.


Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaney Sey.


Chalo Ek Dua To Apni Poori Huiey,
Mil Liye Apne Ek Deewaaney Sey.


Roye Jatey Ho, Bas Roye Jatey Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutaaney Sey.


Karo Koshish Ki Kurbatein Hi Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaaney Sey.


Kya Sunaayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunaaney Sey.


Bhool Jaao Kar Ke Achha Hai ,
Ehsaan Rehta Nahin Jataaney Sey.../
Itna kuch khoya ki hume Paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Usoolon pe jo aanch aaye to takraana zaroori hai
Agar zinda hain to zinda nazar aana zaroori hai

Nayi umro ki khudmukhtaariyon (arrogance) ko kaun samjhaaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai

Thake haare parinde jab basere ke liye lautein
Saleeka mand saakhon ka lachak jaana zaroori hai.

Saleeka hi nahin shaayad use mahsoos karne ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

Mere hothon pe apni pyaas rakha do aur phir socho
Ki iske baad bhi is duniya mein kuchh Paana zaroori ha
ChuPaana Raaz Iss Dil Ke
Agar Tum Choorh Do Jana
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Ager Tum Bol Do Jana
Tu Jeevan K Safar Main
Raasta Asaan Ho Jaye
Humare Paas Bhi Jeene Ka Kuch Saman Ho Jai
Warna Hum, Tumhare Dil Ke Darwaaze K Bahir
Aass Main Baithe Rahainge
Ke Kabhi Tu Band Darwaaze Ko Kholo Gi
Mere Shaane Par Sar Rakh Kar
Kabhi Dheere Se Bolo Gi
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai...!!!
aan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhuPaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !
Ham Mohabbat Ki Numaish Nahi Kertay,
Ham Lafzon Ki Pemayesh Nahi Kertay,
Jissay Chahtay Hain Toot Ke Chahtay Hain,
Phir Kisi Or Ko Paanay Ki Khawahish Nahi Kertay.
dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai
itanaa besimt na chal lauT ke ghar jaanaa hai

us tak aatii hai to har chiiz Thahar jaatii hai
jaise Paanaa hii use asl me.n mar jaanaa hai

bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaa_ii kyaa hai
dil ko rukanaa hai ki taaro.n me.n Thahar jaanaa hai

kaun ubharate hue mahataab kaa rastaa roke
us ko har taur suu-e-dasht-e-sahar jaanaa hai

mai.n khilaa huu.N to isii Khaak me.n milanaa hai mujhe
vo to Khushbuu hai use agale nagar jaanaa hai

vo tere husn kaa jaaduu ho ke meraa Gam-e-dil
har musaafir ko isii ghaaT utar jaanaa hai
Dil Ki Awaaz Ko Izhaar Kehtay Hein
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehtay Hein

Sirf Paanay Ka Naam Mohabbat Nahin
Kuch Khone Ko Bhi Pyaar Kehtay Hein
Kuch na kuch to zaroor hona hai,
Saamna aaj unse hona hai,

Todo, phenko,rakho, karo kuch bhi,
Dil humara hai kya khilona hai,

Zindagi aur maut ka matlab,
Tumko Paana hai tumko khona hai,

Itna darna bhi kya hai duniya se,
Jo bhi hona hai woh to hona hai,

Uth ke mehfil se mat chale jaana,
Tumse roshan yeh kona kona hai.
Bari chaah hai Dil ko tujhy Paanay ki".

Tujhy Apna k tera ho jaanay ki".

Teri zaat k Reshay Reshay main Bikhar jaanay ki".
mujh ko Paana hai to phir mujh main utar kar dekho
youn kinare se samandar nahi dekha jaata..........

mug ko mug say goda kia tu nay
mara ban kar ya kya kia tu nay

maray ansoo bi mug say cheen lia
is qadar gum ata kia tu nay.