Na darna SMS Messages1 messages

Kuch na kuch to zaroor hona hai,
Saamna aaj unse hona hai,

Todo, phenko,rakho, karo kuch bhi,
Dil humara hai kya khilona hai,

Zindagi aur maut ka matlab,
Tumko paana hai tumko khona hai,

ItNa darna bhi kya hai duniya se,
Jo bhi hona hai woh to hona hai,

Uth ke mehfil se mat chale jaana,
Tumse roshan yeh kona kona hai.