One evening I’ll come 2 ur room,

One evening I’ll come 2 ur room,
One evening I’ll come 2 ur room,
Lock the door,
Turn off the lights,
Join U in bed.
I’ll come closer 2 U,
My lips near ur face,
And I’ll shout,
Have a great night
  

May, 27 2010     170 chars (2 sms)     3653 views       Romantic

more Romantic SMS Messages

Ek teri yaadon ke siwa aur koi sahara nahin
Tujhey bhool ke zinda rahoon dil ko yeh gawara nahi
Ya khuda teri ibadat mein dil lagawoon kaisey
Yeh jaan bhi unki hai, dil bhi ab hamara nahi
Gunah humsey ho sar zad to khuda maaf karey
Qatha ho ishq mein is ka koi kaffara nahi
Loon kiska naam, kisney ujaada hai mujhey
Wafawon ney jaan baqshi hai, jafawon ne maara nahi
Meri udaasiyon mein khudaayi bhi hai shaamil
Chaand bhi na nikla, aasmaan pe koi taara nahi
Doobey hain ghumon mein tho raaz yeh paaya
Yeh woh samundar hai ilyas jiska koi kinaara nahi
A special smile, a special face.A special someone i cant replace.
I luv u,i always will.U have filled a space no one can fill!
Ek kasak dil mein dabi reh gayi,
Zindagi mein unki kami reh gayi,
Itni ulfat k baad b vo mujhe na mile..
Shayad meri mohabbat mein hi kuch kami reh gayi..
===========================================================
tanhaai ma aksar aankhain nam rehti hain
k meri khuli baanhain har waqt ussay pukarti rehti hian
na hai ussay fikar meri aur na khayal mera
phir b us ki yaadain dil ko tarpaati rehti hain
tumhari bewafayun ka gila nahi mujhay.
tumhari judai ka shikwa nahi mujhay.
dukh to bus itna hay...........
mainay pyar k liay kun chuna tujhay......
ye jo zindagy ki kitaab hai,
ye kitaab bhi kia kitaab hai,
kaheen ik haseen sa khoaab hai,
kaheen jaan lewa azab hai,
kaheen aansuon ki hai daastaan,
kaheen muskurahaton ka bayan hai,
kai chehre is mein chupe hoe,
ik ajeeb sa ye naqab hai,
kaheen kho dya , kaheen paa lia,
kaheen ro lia , kaheen gaa lia,
kaheen cheen lety hai har khushi,
kaheen meharbaan behisaab hai,
kaheen dhoop hai , kaheen or hi koi roop hai,
kaheen barkaton ki hain barishein,
kaheen tishnagy behisaab hai,
YE JO ZINDAGY KI KITAAB HAI.......
Baatein kartay hont achaanak ruk jaatay aur,
Aankhain uss k peechay peechay chal parti theen,
Dhyaan ka rastaa kho jaata tha.
Mehfil mein jis simt Woh jaati,
Kamaray ka woh hissa yak-dam roshan ho jaata tha.
Jaadugar theen aankhain Uss ki,
Palkain theen ek Raaz!!
Rooh mein jhilmil ker daiti thi,
Aisi thi Awaaz!!!
Life is a book we all read it. Luv is a blessing we all need it.
Always be happy, always have a smile coz.
Remember in this world we are just for a while!
I luv my eyes when u look into them;
I luv my name when u say it;
I luv my heart when u luv it;
I luv my life when you are in it.
Jab kisi ke sapne kisi ke Armaan banjaye..Jab kisi ki Hansi kisi ki Muskaan Ban jaye..Bemisaal Piyaar kehte hain use jab kisi ki sansein kisi ki jaan banjaen....
hum kaisy pagal hoty thy
jab sarak pe chalna hota tha,
hum kashti ly k chalty thy,
oor beech banwar mai jany k liye,
hum paidal nikla karty thy,
hum kaisy pagal hoty thy..........
jab barish barsa kartii thi,
hum chatri main chup jaty thy,
oor jalti dhoop main nangy sar,
hum chat pe uchla kerty thy,
hum kaisy pagal hoty thy.......
jab pass buhat wo hota tha,
hum usko dekh na sakty thy,
jab door chala jata tha woh,
hum ahat uski sunty thy,
hum kaisy pagal hoty thy.............???
mohabbat na samajh hoti hai samjhana zaroori hai
jo dil main hai use aankhon se kehlaana zaroori hai
usoolon per jo aanch aaye tou takraana zaroori hai
jo zainda hai tou phir zinda nazar aana zaroori hai
bohot bebaak aankhon main talluq tik nahin sakta
mohabbat main kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos kerne ka
jo kehta hai khuda hai tou nazar aana zaroori hai
"Greatness inspires envy
Envy engenders spite.
Spite spawns fallacies"
............ .