aik aurat jannat k farishtay se boli: mera nikah..
mere dunya wale shohar se karwa do
Farishta bola: nikah tu karwadon ..
pehlay koi maulvi tu jannat mai aye
ek sadhu ne car park ke paas kutiya banai.
log uski kutiya ke agal bagal car or skuter khadi karne lage to usne baurd lagaya ki yaha gadiya khadi karna mana hai
ullanghan karne walo ko shrap diya jayega.
Quaid foot ho gaye, Liaqat Ali bi shaheed ho gaye, Allama Iqbal bi ab is dunya main nahi rahay, meri tabiat bi ab kuch teek nahi ha, soochta hun ke maray bad Pakistan ka kia banay ga
Eik Dehaati Shehar Gya,
Uss K Peechay Ik Kutta Dor Para
Dehati Nay Pathar Uthna Chaha Magar Pathar Zamin K Sath Jura Huwa Tha,
Dehati Ne Kaha,
Yeh Ajeeb Jagah Hai Yahan Kutton Ko Khula Chor Daitay Hain Or Pathar Ko Baandh Daitay Hain,
Raat ko ek larki ne car ko rukne ka ishara kia , car kareeb aa ke ruki tu larki boli " i am sorry main samjhi taxi hai"
car wala bola " main bhi yehi samjha tha