kuch dost

kuch dost
Kuch dost pal bhar me bhula diye jate hain
kuch dost pal-pal yad aatey hain

hum apse yahi puchna chahte hain
k dosto ki is qataar me hum kahan aatey hain
  

Jul, 21 2013     155 chars (1 sms)     2698 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mohabbaton mien hawas k aseer hum bhi nahi...
Galat na jaan itney haqeer hum bhi nahi...

Nahi hai tu bhi qayyamat ki tand-o-tez hawa...
Kisi k naqsh-e-qadam ki lakeer hum bhi nahi...

Karam ki bheek na de tu aapna takht bakht sambhal...
Zaroratoon ka khuda tu,to faqeer hum bhi nahi...

Humien mitta de humari aana ko qatal na ker...
K be-zaraar he sahi be-zameer hum bhi nahi...
Gunah karke saza se darte hain,
Pee ke Zeher dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi humko,
Hum to doston ki bewafai se darte hain.
hum jis ko takte hain her waqat dil ki nazar se amir.

wo chand tu kisi or asmaan ka hai.
Ab Hogaya Jo Hona Tha,

Bas Itna Hi Mujhko Rona Tha,

Jis Dil Me Rahe Ho Tum Saalo Se,

Wo Tumhare Liye To Ek Khilona Tha.
waqt badlta hia zindagi k sath
zindagi badalti hia mohabbat k sath
mohabbat nia badalti apno k sath
buss apne badal jate hian waqt k sath
Usne Mere Hath Ki Lakeerain Dekhein Aur Phir Hans Kar Kaha !

Tujhey Zindagi Mein Sub Kuch Milay Ga haan Magar ..Mere Siva !
Jis ne pouch a hum se Bichaary yaar ka ,
Is ko seene say lagha kar Rooh Pare ,
Apne Dil-Bar ki kushi k waste,
Dil ka har Ghum Chupa kar Rooh Pare,
Likh kar Iss ka Naam Dil k Work Par,
Apni Hasti ko Mitta kar Rooh Pare,
Jo Milley hain Zahkim Shani Piyar Mein,
Wo Zamane ko Dikha Kar Rooh Pare!!!!!
Kya bataun ye qayamat kya hai,

Maine ghabra ke kaha rooth jana tera.

"Maut kehte hai kise", jab mujhse pucha,

Maine ankhe jhuka kar kaha chod jana tera.
"Har koi hamain pane ki zid mein hai"

"Shayad koi aazmane ki zid mein hai"

"jisse chahte hain hum itni shiddut sey"

"Woh hamain bhulane ki zid mein hai
Kuchh to bolo aap bhi hume sunane ki chahat hai,
Hilte dekh honth aap ke milti hum ko rahat hai,
Kuchh bhi words aap bol do shayari khud ban jaygi,
Honthon se lag kar aap ke har word mein mithaas bhar jaygi.
koi waqt purana yad aya koi dard suhana yad aya,
aur chalk se in deewaron per kuch likh kar jana yad aya,
tera milna neem ki chaon mein aur sir rakh dena kandhe pe, mera ye kehna koi dekh na le tera wo ghabrana yad aya,
sakhiyon k jhurmat mein tera paani bharne jana,
mera dekh k tuj ko hans dena tera wo sharmana yad aya,
kabi aisa b hota tha main tuj ko chorne jata tha,
jub wapis aane lagta tera wo hath hilana yad aya,
beeghe kapron, beeghi zulfon, nange paon,
barsaat ki beeghi raton mein tera milne aana yad aya,
wo waqt gya lamhe beetay ab her taraf tanhai hai,
wo ik hai manzar ankhon mein tera wo chor k jana yad aya
Mohabbat Ho Tou Be-hadh
Ho Jo Nafrat Tou Be-paya''n

Koi Bhi Kaam Kam Kerna
Mujhy Hargiz Nahi Aata ... !!