youn bhi to ho

youn bhi to ho
Kabhi yun bhi to ho”
Darya ka sahil ho,Pooray chaand ki Raat ho,
or tum aao…
Kabhi yun bhi to ho,
Satroun ki mehfil ho,Koi Tumhari baat ho,
or tum aao…
Kabhi yun bhi to ho,
Sooni her manzil ho,koee na merey sath ho,
or tum aao…
Kabhi yun bhi to ho,
ye Badal aisa toot k barsey,
meray Dil ki tarha milnay ko tumhara dil bhi tarsey,
Or tum aao….
Kabhi yun bhi to ho
Tanhai ho,Dil ho, Barsat ho, or tum aao. .
Kabhi yun bhi to ho
  

Nov, 16 2012     426 chars (3 sms)     2822 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tumhari Aankhain Panion Say Bhari
Her Waqat Brasnay Ko Tayar

Samandar Say Gahri Aankhain
In Aankhon Say Ho Gaya Hay Payar
ik dil walon ki basti thee,

jahan chand oor suraj rehtay thay,

kuch suraj mann ka pagal tha,

kuch chand bhi shokh chanchal tha,

basti basti phirtay thay,

har pal hanstay rehtay thay,

phir ek din dono rooth gaye,

oor saray sapnay tout gaye,

ab chand b uss waqt aata hai,

suraj jab soo jaata hai,

badal sab se kehte hey suraj uljha sa rehta hai,

chand k sath sitaray hain,

par suraj tanha rehta hai,...........
Aansu tumhari ankho se le jayenge hum.Sapne sunhre tumhe de jayenge hum.Zarurat ho hamari to aawaz na dena?Bus mud k dekhna.Saye me nazar aajayeng hum.
AMANAT..

Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote...
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote..
Raat Gaye Aksar Aisa Bhi Hota Hai

Jese Dil Seeney Main

Chup Ho Jata Hai

Har Suu Ek Adhera Ghup Ho Jata Hai

Is Lamhe

Bas Ek Dua Yaad Aati Hai

Ya RAB ...

Tu Usay Khush Rakhna ...!!!
Mere Etmaad Ki Is Se Barh Kar Aur Kia Daleel Hogi.



Jo Tumhari La-Taluki Ko Masroofait Sumjh Betha...
Mujhe aiane or tere saye se sakhat nafrat hai.

jana

tere jesa koi or kauon hu....
Ikr-E-Shab-E-Firaaq Se Vahshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Muhabbat Usay Bhi Thi
Mujh Ko Bhi Shauq Thaa Naye Chehroon Ki Deed Kaa
Rastaa Badal Ke Chalnay Ki Aadat Usay Bhi Thi
Mujh Se Bichhar Ke Shahar Mein Ghul Mil Gayaa Vo Shakhs
Haalaanke Shahar Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi
Vo Mujh Se Barh Ke Zabt Kaa Aadi Thaa Ji Gayaa
Varnaa Har Ek Saans Qayaamat Usay Bhi Thi
" Dekh kr aaienay mein aks apna,

Uski hairaniyaa''n nahin jati''n."
hamen pyar ka hisab nahin ata.

unka palatkar jawab nahin ata.

hum hain k unki yad me sote tak nahi,

aur unko sokar bhi hamara khwab nahi ata.
rafta rafta bujh gya aakhir chragh-e-arzu,,,

pehlay dil khamosh tha ab zindagi khamosh hy,,,,
Dasht-E-Ghurbat main


jis pairh Ne,



mere Tnha Musafir Ki khatir,


Ghani Chaon Phailai hY,

Us ki Shaadabion k Liye

Meri sb Unglian

Hawa main

Dua Likh rahi Hain.