Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
Ye Dost b Ajeeb Hote Hyn
Dene Pe Aaye''n Tou
Jaan De Dain
Lene Pe Aayen Tou
Hansi Tak Cheen Lain
Kehne Pe Aayen Tou Dil K Tamam Khano K
Raaz Tak Keh Dain
Chupane Pe Aayen Tou Ye Tak na Batayen
K Khafa Kyun Hyn
Naraz Honay Pe Aayen Tou
Saans Tak na Lene Dain
Manane Pe Aaye''n Tou
Apni Saansain Waar Dain
"Dost" Zindagi main Nahi Mila Kerte
Zindagi "Doston" Main Milti Hy ... (:
Barsat mein ham pani ban k baras jainge....
Pat jhar mein ham Phol ban k khar jainge........
Kia hua jo aaj aap ko tang karte hain...
Ek din aap ko bin bataye he chala jainge
Usne dur rehna ka mashwara b likha hai,
Saath he DOSTI ka wasta b likha hai,
Usne ye bhi likha hai mere ghar na aana,
Or saaf lafzo me rasta bhi likha hai
Nahin pata tha ki zindagi mein
Aapsa bhi koi dost aayega....
Lekin agar Khuda ne bakshi Zindagi dobara
Toh aapki kasam vapas yeh dil aapki hi dosti ko chaahega
barsat mein ham pani ban k baras jainge...
patjhar mein ham phol ban k jhar jainge...
kia hua jo aaj aap ko tang karte hain...
ek din aap ko bin bataye hi chalay jainge.