Jab Waqt ne Zindagi se Hisaab maanga,
To humne socha kya Khoya or kya Paaya,
Khone ka to Hisaab na mila,
Yaad raha to bas itna ke Dost ap jaisa bhi payaa
Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
khud pe bharosa hai to khuda tere sath hai,
apno pe bharosa hai to har dua tere sath hai,
zindagi se kabhi mat darna aiy dost,
tera ye dost sada tere sath hai.
nahi ban jata koi yu hi dil lagane se,
karni padti hai dua rab se sachcha dost pane me,
rakhna sambhal ke dosti apni,
tod na dena ye kisi ke bahkane se.
The best kind of friend is the kind you can sit on a porch and swing with, never say a word, and then walk away feeling like it was the best conversation you''ve ever had