Khuda se koi baat anjaan nahi hoti,
jab insaan ki bandagi beimaan nahi hoti,
kabhi maanga hoga aapne 1 pyara sa dost,
yu hi aapki hamse pehchaan nahi hoti!!
Haqeqat Mohabbat ki judai hoti hai,
Kabhi kabhi pyar main bewafai hoti hai,
Hamari taraf haath barha kar to dekh dosti ka,
Dostey main kitni sachai hoti hai.
ye lamhey yun he guzar jaeen gey,
shayad ham dost yun he bichar jaeen ge,
naraaz na hona hamari shrartoon se,
ye hi tu pal hain jo kal yaad aeen gey...