zindgi laher thi aap sahil huye,
na jane kaise hum apki dosti ke kabil huye,
nahi bhulayenge hum us hasin pal ko,
jab aap hamari chhoti si zindgi me samil huye.....
Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
Socha n tha is tarah koi apna milega, 1 khubsurat sa mujhko sapna milega, jab kabhi mahsus ho zarurat meri! Bas awaz dena, har waqt apka ye dost apko "apna" milega