Kon kehta hai k hum ap se gila krte hain
Jese milty hain wese mila krty hain
Hamari badnasibi pay mat jao ae mehboob
Kyu k phool aksar kanto pay khila krty hain
Jab Waqt ne Zindagi se Hisaab maanga,
To humne socha kya Khoya or kya Paaya,
Khone ka to Hisaab na mila,
Yaad raha to bas itna ke Dost ap jaisa bhi payaa
khud pe bharosa hai to khuda tere sath hai,
apno pe bharosa hai to har dua tere sath hai,
zindagi se kabhi mat darna aiy dost,
tera ye dost sada tere sath hai.
Jab-Jab tanhai ne unko sataya hoga,
tab-tab unko mera khayal aaya hoga,
ghum yeh nahi hai ki woh bhool gaye humko
ghum yeh hai ki Ro-Ro kar Bhulaya hoga.