Chale gaye ho dur kuch pal ke liye,
dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye,
kaise yaad na aaye apki ek pal ke liye,
jab Dil me ho tum har pal ke liye..
Wafa ruswa nahe krna,
Suno aisa nahe krna,
Main pehlay he akela hon,
Mujhe tanha nahe krna,
Bohat massrrof ho jana,
Tou socha nahe krna,
Bharosa bi zaroori hy,
Magr sab ka nahe krna,
Muqadar phir muqadar hy,
Kabi daawa nahe krna,
Jo likha hy wo hona hy,
Kabhi shikwa nahe krna,
Meri takmeel tm se hy,
Mujhe aadha nahe krna,
Haqiqat hy milan apna,
Isay sapna nahe krna,
Humain tm yaad rehty ho,
Humain bhoola nahe krna