Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
Basher Key Roop Main Ek Dilruba Talasm Baney
Shafaq Main Dhoop Milayen Tu Us Ka Jism Baney
Woh Mojzaat Ki Had Tak Pohunch Gaya Hey Qateel
Hurf Koi Bhi Likhoon Usi Ka Ism Baney