Wafa ruswa nahe krna,
Suno aisa nahe krna,
Main pehlay he akela hon,
Mujhe tanha nahe krna,
Bohat massrrof ho jana,
Tou socha nahe krna,
Bharosa bi zaroori hy,
Magr sab ka nahe krna,
Muqadar phir muqadar hy,
Kabi daawa nahe krna,
Jo likha hy wo hona hy,
Kabhi shikwa nahe krna,
Meri takmeel tm se hy,
Mujhe aadha nahe krna,
Haqiqat hy milan apna,
Isay sapna nahe krna,
Humain tm yaad rehty ho,
Humain bhoola nahe krna
Saahil Ki Ret Par Ek Baar Tera Naam Likha Tha Maine
Tanhai Ke Un Palon Mein Tujhe Hi Yaad Kiya Tha Maine
Saagar Ki Maujon Ne Tera Naam To Mita Diya Par
Na Mit Saka Woh Naam Jo Dil Pe Likha Tha Maine