Ab ke sawan(rain) mein paani barsa bahut,
Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.
Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
ik raat hoi barsaat bohat
main royaa saari raat bohat
har ghum tha zamaanay ka lekin
main tanha tha us raat bohat
phiraankh say ik saawan barsa
jab seher hoi to khayaal aaya
woh baadal kitna tanha tha
jo barsa saari raat bohat
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay
~ Tum Bin ~