Youn To Sab Mile Humse Pyar K Saath
Hum Kisi Se Na Mile Tumse Mulaqat K Baad
Itni Mazboti Se Dil K Darr Band Kiye Hum Ne
Dil Mein Utri Na Koi Zaat Teri Zaat K Baad
Ek Sargoshi muj se boli
Kia wo tum ho
Jo mere kaanou se lag ker
Apni Ghazalian !!!
Apni nazmain !!!
Keh jata hai
Phir mein bola
Haan mein wohe hoon
Phir wo boli
Bohat bury ho
Bohat bury ho
Bohat bury ho
Neend ura ker so jaty ho
Tum nay apnay pehlay khat main
apna pehla khawab lihka tha
khwahish ki pehli barish main
khud ko khilta phool lihka tha
lakin tum nay pehlay khat main
anjanay say khauf main a ker
yai kyon lihka?
khawab adhoray reh jatay hain
khawahish pori kab hoti hay
sari khusboo ur jati hay
phool akhir murjha jatay hain
Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main