Dil kartha hay zamaney sy

Dil kartha hay zamaney sy
Dil kartha hay zamaney sy chupa loon tuj ko,
Dil ki dharkan ki tarha dil main basa lo tuj ko,
Koi ehsas judai ka na rehney paey,
Is tarha kud main meri jan chupa lo tuj ko,
To jo rooth jay muj say mere DIL ki Mallika,
Sari dunya say khafa ho ker bhi mana lo tuj kok,
Jub main dekhoon tere chehry py udsi ka sama,
bas yah chahoon ksi tarha hassa lo tuj ko,
Tu kbi dunya sy baizar ho jau to,
Dil yeh chahy k bahoon main chupa lo tuj ko......
  

Jun, 04 2010     448 chars (3 sms)     2456 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dunya hay usay piyar pih Qaayal to karay gi
wo baat koi maan na jaay usay kehna
Zamee''n walo''n se ye keh kr falak se dhal gya suraj,

Ujaly bant deny se ujaala kam nahi hota!¿!
Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gee
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab moharam k tarah eid manati ho gee
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gee
Dil ki masoom raggin khud he sulagti ho gee
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gee
Roop day kar mujhay is mein shezaday ka
Apnay bachon ko kahani woh sunati hogee
yun miley k mulaqat ho na saki

hont kanpe par baat ho na saki

meri har nigah dastan keh gayi

unko shikayat rahi ki baat ho na saki
Ye mausam b kitna pyara hai,

karti ye hawae kuch ishara hai.

Zara samjho in k jazbato ko,

Ye keh rahi hai kisi Dost ne

DIL SE apko pukara hai.
Marna tu is jahan mein koi hadsaa nahi

Is doar-e-nagawar mein jeena kamal hai... ;->
Tumain iss baat pe hai hyrat

k tuta hai hamara dil...

muqabil jab ho pather tou

sheeshy toot he jaty hain
Nazr me zulmat Badan me thandak
Jamal kitna ajib sa tha
Me uski chahat me ghr se nikla tou
Haal kitna ajeeb sa tha
Na mene usy khatoot likhe
Na usne meri panah chahi
Dono ko apni bekhudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha
Wo apni raato''n me chand dekhe
Main apni raato''n me usko socho''n
Badalte lamhon me soch ka ye
Visal kitna ajeeb sa tha
Safar akele kr lo ge
Mene poocha tou ro dia wo
Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha
Aa Kabhi Andherey Main
Dekh Suurat-e-Dunya

Rung Tou Tamasha Hy
Sirf Dhuup Chaao''n Ka
dil ka bazar mian dolat nahi dekhi jati.....
ho jaye pyar toh surat nahi dekhi jati..
ek muskurahat pe do alam ko nichwar kar do......
Maal acha ho toh qeemat nahi dekhi jati.....
Meri zindgi ka tasawwar mery hath ki lakiren

Inhain kaash tum bdaltay to kuch or baat hoti

Ye khulay khulay se gesoo inhain laakh tum sanwaro

Meray hath sey sanwartay to kuch or baat hoti

Main tera aaina tha main tera aaina hon

Mery samnay sanwarty to kuch or baat hoti

Abhi aankh hi larri thi k gira diya nazar se

Ye jo silsila barhatay to kuch or baat hoti

Hamein apni zindgi ka kuch ghum nhi hai lekin

Tery "aastaney" pe marty to kuch or baat hoti
Tanha udaas shamo main
ab kiyun phira karoon main
mujhe bhool janay walay
tujhe yaad kia karoon main..