"Pyaar Zindagi Ki Tarah Hota Hai,
Jiska Her Morr Aasan Nahi Hota,
Her Raste Per Khushi Nahi Milti,
Per Jab Hum Zindagi Ka Saath Nahin Chorte,
To Hum Pyaar Karna Kyon Chorein...
Ham ko maloom hai kaya dast e hinaie de ga qurb boyen ge to fasl e judaie de ga aankh neelam ki jism kaanch ka dil pather ka apny shaahkar ko kon itni safaie de ga
...DOOR...
Tum Door Sahi Muj Se
Sapnoo Ma Tu A Jao
Bechain Mere Dil Ko
Pal Bar Behla Jao,
Koi Lamha Nahi Kut Ta
Tujay Sochay Bina Jana
Yadon se Nikal Kar Kabhi
Mere Saamanay A Jao,
Bus Itni Se Khawahish Hai
Nadaan Mere Dil Ki
Phir A Key Chalay Jana
Ek Baar Tu A Jao,
Bachaini Si Dharkan Ma
Na Aankhon Ma Neenden Hein
Be Kaif Tabbiyat Ki
Koi Waja Bata Jao.
us nay phool bhajay hain
phir meri ayadat ko
eik eik patti ma
un laboon ki narmi ha
un jamil hathoon ki
khushgawar hiddat ha
un latif saansoon ki
dilnawaz khushboo ha
dil ma phool khiltay hain
rooh ma chiraghan ha
zindagi mouattar ha
phir bhi dil ye kehta ha
baat kuch bana leta
waqt k khazanay say
eik pal chura leta
kash.....wo khud aa jata