chaht marz banti ja rahi

chaht marz banti ja rahi
chaht marz banti ja rahi hai,judai qarz banti ja rahi hai,tujh say mill kar udaas lamhoon main,mohabbat farz banti ja rahi hai.
  

Jun, 01 2010     128 chars (1 sms)     2455 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ek Andekhi Si Surat In Aankho Main Rehti Hai
Jis Say Kabhi Mili Nahi Phir Kiyon
Yeh Nigaahain Un Say Milnay Ko Tarasti Hain

Main Jo Ek Murat Dil Main Banae Betha Hoon
Kiya Maalum Kay Shayad Yeh Nigahain
Usi Ki Talaash Karti Hai
Meri saanso me ek aahat apki bhi hai,

Dil ki dhadkano me gungunahat aapki bhi hai.

Anjan hai aap is raz se ki,

Hamari hansi me ek muskurahat aapki bhi hai.
mare paas chand lfz thy wo bhi chan gaye hai mujh se..

wo aik tera naam jo har waqat zuban per rahta tha..
WO TO MAJBORIOON MAIN LIPTI HAIN
APNEY SHIDDAT BHAREY KHYALOON MAIN
APNEY ANDER CHHUPI EK AURAT MAIN
WO HAMESHA HI DARTI REHTI HAIN
NA TO JEETI HAIN NA TO MARTI HAIN

LARKIYAAN BEWAFAA NAHI HOTI

PER HAMESHA HI DARTI REHTI HAIN
APNE REETI OR RAWAJOON SE
ANY WALEY NAYE AZABOON SE
ZARDURAT MAIN KHILY GHULABOON SE
PYAAR KERTI HAIN OR CHHUPATI HAIN

LARKIYAAN BEWAFAA NAHI HOT

KYUON KI MAJBORIOON MAIN LEPTI HAIN
OR HER LAMHA DARTI REHTI HAIN
APNEY PYAAR SE APNEY SAYE SE
APNEY RISHTON SE DIL KI DHARKAN SE
APNI KHOWAHISH SE APNI KUSHIOON SE

LARKIYAAN BEWAFAA NAHI HOTI !!!
Mere Dil Mein Koi
Masoom Sa Bacha Hy
Wasi ...

Jo Tujhey Sochta Rehta
Hy Shararat Ki Terha !!!
Kuch likhna chahta hoon...
Sochta hoon kya likhoon.

Phoolon ki woh mehekti khusbu,
Barish ka woh bheega paani,
Aur hawa mein thi jo rawaani,
Kya us mausam ka khumaar likhoon???

Thi chehre par unki masoomiyat,
Aankhon mein thi thodi sharaarat,
Aur baaton mein woh nazaakat,
Kya unka rangeen mijaaj likhoon???

Unka aakar muskarana,
Jo rooth jaun to manana,
Jaate jaate phir rulaana,
Kya unka yeh andaaz likhoon???

Yaadon mein unki ashq bahaana,
Har shaam ek diya jalaana,
Soyi ummeed ko roz jagaana,
Kya unka yeh intzaar likhoon??
door tak chahe thay badal or kahin saya na tha
is tarhan barsath ka moasam kabhi aaya na tha

kya mila aakhir tujhe saayon k peechay bhaag kar
aay dil-e-nadaan, tujhe kya humne samjhaya na tha

uff ye sannata k aahat tak na ho jis mai mukhal
zindagi mai is qadar humne sukoon paya na tha

khoob roye chipak k ghar ki chaar diwari mai hum
haal-e-dil kehnay k qabil koi humsaya na tha
Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!
Kuch Hasratain Hain Baqi!
Toota Tu Buhat Kuch Hai Mujh Main!
Haan Per Kuch Sambhalna Hai Baqi!
kabhi dard to kabhi dua di hai,
dil ka chain aur aankhon ki neend uda di hai;
ye teri yaade hai ya mere dard ki inteha,
palkon ki katro pe nami saja di hai.
sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN
ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah

thoRii hii der meN
yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah
Kaifiyat mere ishq mein itni hai,
Door jaa jaaker bhi tu laut ke ayegi..!!

Nahi mitega mera saya tere ankho se,
Har ashq mein tu apne mujhe hi payegi..!!
Kuch kahain to tauheene hasti hai
Kaisi ajab yeh dunya ki basti hai
Maree ko tu dain kandha sabhi
Magar zindagi raham ko tarasti hai