Badd gumaan na ho

Badd gumaan na ho
Badd gumaan na ho hath uthanay say
Ham taray haq main Duaa kartay hain
  

Jun, 01 2010     72 chars (1 sms)     2971 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Na Lafz Itne Qadd-aawer
Na Tujh Si Koi Shey ...



Bayaan Kis Tarah Kerta
Tujhy Misaal Se Main ... !!
Kehney Waalo''n Ka Kuch Nahi Jaata,

Sehney Waaley Kamal Kartey Hain

Dardo''n K Jawab Kon Dhoondhey,

Log Tou Bass Sawal Kartey Hain...
Uss ne khat meiN
Ishq ka matlab poochh liya hay
Mainay likha hay!
Jab koi chehra
Dhiyaan meiN aa kar
Mann aangan meiN phool khilaa day
Jab koi naam laboN ko chhoo kar
DharrkanoN ko tarteeb bhulaa day
Jab koi jazba kaar-e-junooN say
Aatish ko gulzaar bana day
Lekin itna dhiyaan meiN rakhna
Koi siraat-e-ishq say guzray tab khultaa hay
Ishq say pehlay ishq ka matlab kab khultaa ha
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
kuch is liye b wo hum se khafa raha

amir

wo jan gya tha k humain un se pyar buhat hai...
Jo ab ye munkin nahi
Ku ki ye pyar to mere saso may basa hai, 2
To kya ab ye sase lena chor de.
Tanhai kisi ka intezar nahi karti,
Kismat kabhi bewafai nahi karti,
Unse dur hone ka asar hai warna,
Parchai kabhi jism par waar nahi karti.
Bohut royi Hain shayad Aankhen Tumhari






meri khatir Aankhon mein Thora kajal laGa Lo
Hajoom Mein Tha Wo Na Ro Saka Hoga
Magar Yakeen Hai Shab Bher Na So Saka Hoga
Wo Shaks Jise Samjhne Mein Mujhe Umar Lagi
Bicher Ke Mujhse Kisi Ka Na Ho Saka Hoga
Shab ki Aghosh mein aa jaye agar Khayal uska Wasi...

Subha bistar se bhi phoolon ki mehek aati hai....
ub tu mujh ko pasand aajao.

main ne khud men bhut kami kar liii..
Kash kay main musavir hota
Teri ik tasveer banata

Qos-o-qazah kay rang chura ker
Tere chehrey ki zeenat banata

Teri maang sitaroon say sajata
Nazar na lagay tujhay kisi ki

Tere rukhsaar pay siyaah til lagata
Kayee kayee peher tujhay takta rehta..!!!