Andaaz-e-Junoon Konsa

Andaaz-e-Junoon Konsa
Andaaz-e-Junoon Konsa
Hum Main Nahi Majnuu

Par Teri Terha Ishq Ko
Ruswa Nahi Kerte ! :)
  

Jun, 01 2010     93 chars (1 sms)     3636 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Anmol Ankhon Mein Jo Tahreerain thi

Honton Pe Wo Bol Na Thay

Hum Thay Uss K Payar K Aashiq

Bas Hathon Mein Kashkol Na Thay

Hum Ne Usko Toot K Chaha

Ye Uss Ka Haq Tha

Lakin

Wo B Hum Ko Toot K Chahe

Hum Itne Anmol Na Thay...!
shikayt thi tum se gila na kar sakay

ijazat nahi zuban ko tere khilaf bolne ki..
ye teri judai ka gham nhi,ye silsaley tou hain roz k,

teri zaat iska sabab nhi,kaei din se yunhi udas hoon,
Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo

Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo
Tu B kise ka pyar na paye Khuda karain,

Tujh ko tira naseeb rulaye khuda karain
thikana qabar hai tera ibadat kuch to kar ghafil..

kahawat hai k khaali hath ghar jaya nahi karte..
roth gaya hai mujhko manane wala.
ab koi nahi naaz mere uthane wala.
per jaane kiya sochta hai ye khulla darwaza.
shayad rasta bhool gaya aane wala.
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
Nazarun se agar dur gaya hai tu kia hua
Dharkan ki tarha dil k paas buhat hai.../


Wo jo karta tha rat ki tariki mein mujse baat
Ussay meri tanhai ka ahsas buhat hai.../
Soch Samjh Lena Qadam Uthanay Se PEhlay

Kahi Kho Na Jao Manzil Anay Se Pehl
Mukhliss Dost Se Marhoom Na Ho Jao

Kahi
Yeh Soch Lene Usay Azmanay Se Pehle
Tumharay Siny Me B Darkhta Hai Ek Dil
ye Soch Lena Kisi Ka Dil Dukhanay Se Pehle

Umar Br Kon Kisi K Liye Rota Ha

Log Sirf Rotay Hain DAFNANAY Se Pehla
"ARZOO"

ik arzoo hy qubool parwardigar kry.

mai dair se jaon wo mera intizar kry,

apny hathon se sanware zulf meri,

wo itra kr mohobt ka iqrar kry,

lipat jaye mujse aalm-e-madhoshi main,

aur josho janoon mai mohabat ka izhar kry,

ho shab wisal ki aise ya rab,

k choom k matha mujhe bedaar kry,

jb usy chor k chahon me jana,

vo roke ik aur rat ka israr kry,

qasam ''KHUDA" ki main kisi or ka ho nhe sakta,

ye wada-e-wafa vo bar bar kry...
Aansuo mein raatbhar rona para

Tere milan se to haath dhona para

Tera milna tha khwaab mera

Khwaab laane ke liye sona para