aanso SMS Messages178 messages

Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Ha
Jab piyar karna seekh liya,
tou piyar nibhana bhi seekh liya,
jab aaye aapki yaad tou,
palkon ko jhukana bhi seekh liya,
is dar se key koi dekh na le ye aansoo,
har gham mein muskurana bhi seekh liya..
~~Daaman~~
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera daaman jal na jaaye
woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye
poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
jee bhar ke dekh lo "KaMaL" ko tum sanam
kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye
"TOO LATE"
Aadhi Raat k Sanatay Me
,Kis Ne Phone Kea Hy Muj Ko?
Jane Kis Ka Phone Aiea Hy,
Phone Utha Kr Yun Lagta Hy,
Os Janib Koi GumSum,
Okhra Okhra Dheray Dheray
Kanp Rha Hy,Mehki Hoi Ik Khamoshi Hy,
Ghup Khamoshi,Lakin Is Khamoshi Me B Gonj Rahe Hen,Thandi Sansain,
Barish,aanso,Khamoshi Se Thak Kr Os Ne Saans Liya Tu,
Choorhi Khhanki,Uff Ye Khhan Khhan. . . .
Ik Lamhay Me Sarey Badan Me Phail Gaee Hy,
Teray Ilawah Koi Nhi Hy,Lakin Itnay Barson Bad. . . . .
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
WADA KARO K Mere Marne Par Aogay

Or Mujhey Apne Hathon Sy Dafnaogay

Aogay Meri Maiyat Pe Apno Ki Tarha

Saamne Duniya K aanson B Bahaogay

Bataogay Na Ksi Ko Hamari Alhedgi Ka

Wohi Purana Piyar Duniya Ko Dikhaogay

Dogay Sab Sy Ziyada Kandha MujheUmar Bhar Mere Naam Sy Na Ghabraogay

Chorh K Zamane Bhar Ki Khushiyan Mere Liye

Or Mere Dil Sy Apna Gham B Mitaogay

Roz Aaya Karogoy

Tum Meri Qabar pe

Or Bakhshish K Liye Haath B Uthaogay

WADA KARO"

Kabhii jo hum nahii hongey
kaho kis ko batao gey ???
woh apnii uljahane''n saarii
woh be''chenii mein doobay pal
woh aankhon mein chupay aansoo
kise phir tum dikhao gey ???
kabhii jo hum nahii hongey
buhut be''chain ho gey tum
buhut tanha reh gao gey
kabhii jo hum nahii hongey
abhii bhii tum nahii samjhay ???
hamarii un-kahii baatein
magar jab yaad aayein gey
buhut tum ko rulaai''n gey
buhut chaho gey phir milna
hamein na dhoond pao gey
kabhii jo hum nahii hongey ... !
Kabhi aansoo kabhi khush bechi
Hum ghareebon ney be kasi bechi

Chand sansein khareedney key lye
Rooz thori si bandagi bechi

Jab roolaney lagey mujey sarey
Mai ney ukta key rooshni bechi

Kabhi aansoo kabhi khush bechi
Hum ghareebon ney be kasi bechi

Aik hum they key bikher gey khud hi
Warna dunya ney doosti bechi

Kabhi aansoo kabhi khush bechi
Hum ghareebon ney be kasi bechi
Kahin aisa na ho Daman jala lo
Humarey aansoon per khaak daalo

Manana hi zaroori hai tu phir tum
Humein sab sey khafa ho ker mana lo

Buhat rooyi hoi lagti hain aankhien
Meri khatir zara kajal laga lo

Akailey pan sey khoof ata hai muj ko
Kahan ho aye mere khawabon khayalo

Buhat mayoos bheitha hon mai tum sey
Kabhi aa ker mujey khairat mai daalo



Kahin aisa na ho Daman jala lo
Humarey aansoon per khaak daalo
agar main door ho jaoon
tu palkon ko jhapak daina,
agre aansoo giray koi
samjh lena k wo hu main..


hathaili samnay rakhna
k sab aansoo girain us main,
jo ruk jaye ga honton par
samjh lena k wo hu main..


kabi jo chand ko daikho
to tum yoon muskura daina,
k phir badal bhi a jaaein
samjh lena k wo hu main..


jo chal jae hawa thandi
to aankhain band kar laina,
jo jhonka taiz ho sab say
samjh lena k wo hu main ....


jo zyaada yaad aaon main
toh tum ro lena jee bhar k
agar hichki koi aye,
samajh lena k wo hun main


agar tum bhoolna chaho
mujhe shayad bhulado tum
magar jab saans lena tum,
samajh lena k wo hu main..."
apne hoontoon pe sajaana chaahta hoon
aa tujhe main gungunaana chaahta hoon


koi aansoo tere daman par gira kar
boond ko mooti banaaana chaahta hoon

thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana chaahta hoon

chaa raha hai saari basti main andhera
roshni ko ghar jalaana chaahta hoon