aanso SMS Messages178 messages

***AZZIYAT***
Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi.......
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay.......
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say..
Uss Ki Aankhon Main Koi aansoo Tou Aaya Hoga..

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay........
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga..

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana.........
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga......

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab....
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga..
Aankhon Main Jo aansoon Hain Humaray Ussay Kehna
Dono Yeh Hissa Hain Pyaaray Ussay Kehna

Tapkay Jo Teri Aankh Say aansoo Ka Koi Qatra
Nahin Dekhnay Hum Ko Yeh Nazaray Ussay Kehna

Katti Nahin Us Say Bhi Shab-E-Hijran Tu Phir
Ginna Karay Woh Bhi Sitaaray Ussay Kehna

Hoti Nahin Pori Kabhi Khahish Koi Us Ki
Chal Jatay Hain Dil Pay Merey Aaray Ussay Kehna

Kal Raat Tu Chaand Kuch Mayoos Sa Tha
Aaj Woh Khud Ko Na Sanwaray Ussay Kehna

Zindagi Ek Shaam Hai Saharay Main Ghuzaroon
Ek Shaam Merey Sath Woh Ghuzaray Ussay Kehna
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUM SE APNE RUTH NA JAYE IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

MERI SOORAT DEKHNE WALON MAIN BHI EK AAYENA THA
TOOTA JAB YEH SHEESH-E-DIL SAWAN KA MAHINA THA

TUKRE DIL K KIS KO DIKHAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUMSE APNAY RUTH NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

AAJ KHUSHI KI IS MEHFIL MAIN APNA G BHAR AAYEA HAI
GHAM KI KOI BAAT NAHI HAI HUMEN KHUSHI NE RULAYEA HAI

AANKH SE aanso BAHE NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUMSE APNAY RUTH NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

PYAR K PHOOL CHUNAY THAY HUMNE KHUSHI K SEJ SAJANE KO
PAT JHAR BAN KAR AAYI BAHAAREN GHAR MAIN AAG LAGANE KO

AAG MAIN GHAM KI JAL NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAI
Mohabbat Say, Inayat Say, Wafa Say Chot Lagti Hai,,Bikherta Phool Houn Mujh Ko Hawa Say Chot Lagti Hai,Meri Aankhon Main aansoo Ki Tarha Ek Baar Aa Jao,Takaluf Say, Banawat Say, Aada Say Chot Lagti Hai,Main Shabnum Ki Zuban Say Phool Ki Aawaz Sunta Houn,Ajab Ahsaas Hai Apni Sada Say Chot Lagti Hai,Tujhe Khud Apni Majburi Ka Andaza Naheen Shayad,Na Ker Ahed-E-Wafa, Ahed-E-Wafa Say Chot Lagti Hai...!!!
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.
Milta Tha Mujh S Wo Kabhi Pal Pal K Farq Se
Phir Rafta Rafta Faq Ye Saalo’n Main Aa Gaya
Phir Yun Hua Aankh Se aansoo Nikal Paray
Chehra Kabhi Jo Us Ka Khyalo’n Main Aa Gaya
Aah december lout aaya hai...
Yakh basta thhithharti hui taweel raatein
Yaadoo''n ka aanchal aurh ker
Meray dil kay taqchon mein
Aashaao''n kay deep jalaati hein
Meray mann mein bajti ghantiyoun ney
Barff ki chaadar aurhi hai
Rooh pehlay sey khwaaboun per
Koher ka perda chhaya hai
Hijr ki lambi raato''n may
Chhat per tanha teheltey howey
Shaal ka kouna dhalak gaya hai
Balconey kay hairaan chaand per
Meray aansoo''n ka saaya hai
Aah december lout aaya hai
BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga.
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,

Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,

aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.
kuch yon teray wajood mein gum ho gaya hon mein tere nazar say apna pata pochta hon mein sukh teray jaloo mein to dukh meray sath thay aa dost pir b dekh zinda raha hon mein Pathar aanso, chasham-e-tar reza reza yani ham bikhren hokar reza reza aainay mein akas tera mujood raha aainay say mein bahar reza reza
Kabhi aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Meri jaagi hoi raaton ko usi ki hai talaash

Soo raha hai meri Aankhon mai jo sapna ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Kabhi aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker

Raat bhi agar aye tu bhujti nahi chehrey ki chamak

Rooh mai phail gya hai wo ujala ban ker

Dhoop mai wo khoo gya hath chorwa ker Raheel

Ghar sey jo sath chala tha mera saaya ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker