Dard SMS Messages490 messages

D se dil
D se dilagi
D se dewangi
D se Dard
D se dosti
D se dushmani
Per D se itna bhi Door mat hojana k
D se meri dil ki Dharkan ruk jaye
Ussy Apne Rishtoon Ki Fikr Thi..Wo Jo Mera Waqif-e-haal
Tha..Wo Jo Uss Ki Subhe-e-urooj Thi..
Wohi Mera Waqt-e-zawal tha.. Meri Baat Kaise wo Manta,
Mera Dard Wo kaise jante,Wo tu khud Fana k Safar pe the..
Ussy Rokna Bhi Mahaal tha.. Kahan Jaoge Mujhe Choor kar,
Mein ye Poch poch kar Thak gaya,Wo jawab mujhe Na de Saka,
Wo tu Khud Sarapa Sawal the..Wo MILA jo Sadiyoon Ke Baad Bhi.
Mere Labb pe Koi GILA na Tha,Ussy Meri chup ne Rula Diya,
Jissy Guftagu pe Kamal Tha.....
Kisi ki dhadkan ke piche koi baat hoti hai...
har Dard ke piche kisiki yaad hoti hai...
aap ko pata na hoga...
apki har khushi ke peche hamari faryaad hoti hai!
Yeh Ansoo

Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo ,
Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo,
Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo ,
Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo.... !!
Seh liya har Dard humne haste haste''
ujd gaya ghar mera yaaro baste baste''
ab wafa kare to kis se kare yaaro''
wafa karne gaye to bewafa hi mile raste raste..
Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Se,
Pyar Chupta Nahi Chupane Se,

Paas Aate Ho Chhute Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se,

Pyar Dil Me Hai To Lao Zubaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se,

Tumhe Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhe Ganwane Se...

Chalo Ek Dua To Apni Puri Hui,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se,

Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Moti Lutaane Se,

Karo Koshish Ki Kurabatein Hi Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hai Badhane Se,

Kya Sunayein Kisiko Raaz-E-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se,

Bhool Jao Kar Ke Achha Hai
Ehsaan Rehta Nahi Jatane Se...
Rishtay jo pyar ke thay sabhi choot-tay gaye...

Bandhan bhi saaray zabt ke phir toot-tay gaye...

Khawab-o-khayal ban gayen yaaron ki mehfilen...

Ek ek kar ke yaar sabhi rooth-tay gaye...

Sab Dard dil main bhar liye sukh ki talash main...

HamDard ban ke log hamain loot-tay gaye...

Milti rahin sazayen hamain pyar ke aiwaz...

Apni hi Khawahishon ka gala ghont-tay gaye...
Socha yad na karke thoda tadpaye unko,
kisi aur ka naam lekar jlaye unko.
Par koi chot unko lagi to Dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.
Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai
hai andhera bhut yaha eak chiraag dhondte hai banaye thy tamsha zindagi ko es tarh
ke un mherbaano ka elaaj dhondhte hai koi en andhero main meri dil ki shmma jala de
hum apni badnasibi ka raaz dhnodhte hai hasrat ka aayina ye pather dil se toot gaya
sisho ke en tokdo main apna aaj dhondhte hai maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya
dil ko bhlane ke liye koi haseen khaab dhondhte hai
hame bhoolne ki koshish mat karna
ham tere dil ka Dard ban jayege
karoge aakhri saas tak yaad
hum tumhe itna bebas kar jayege
Dard kitne hain bata nahi sakta
zakhm kitne hain dikha nhai sakta
ankhon se samjh sako to samjh lo
ansoon gire hain kitne gina nahi sakta
Mana kee gum bahut zyada hai..

Par apna bhee … sab se chupa ke muskurane ka irada hai..

Tu badha de is Dard kee siddat jitnna bhee ho sake..

Par apna bhee zindagi se jeene ka wada hai