Manzelin bhi us ki thi,
Rasta bhi us ka tha,
ek main ekala tha,
kafla bhi us ka tha,
saath saath chalnay ki soch bhi us ki thi,
phir rasta badalnay ka faisla bhi us ka tha,
aaj kyoun ekala hoon dil sawal karta hai,
log tou us ke thay kia khuda bhi us ka tha.
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,
Samne aate hi nazar jhukate hai woh,
Baat karte nahi, ya hoti nahi,
Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.
Arzoo yeh nahi k gham ka tofan tal jay
Fiqar tu yeh hay k tumhara dil na badal jay
Kabhi bhi mujh ko agar bhulana chaho tum
Tu dard itna dena k mera dum nikal jay