yaad SMS Messages1247 messages

Koi sham atti hay aapki yaad Lekar
KOI sham Jaati hai aaki yaad dekar
Hamein to us Sham ka intezar hay
jo aaye aapko saath leker
Zamane bhar ki baton mei hame bhula na dena
jab kabhi yaad aaye to zara muskura dena
zinda rahe to milenge dost
nahi to har diwali mere naam ka diya jala dena
Zamane bhar ki baton mei hame bhula na dena
jab kabhi yaad aaye to zara muskura dena
zinda rahe to milenge dost
nahi to har diwali mere naam ka diya jala dena
Dil se tera khayal na jaye to kya karu?
tu hi bata teri yaad aaye to kya karu?
hasrat hai ki ek nazar tujhe dubara dekh lu
kismat woh lamha na laye to kya karu?
Kisi ki dhadkan ke piche koi baat hoti hai...
har dard ke piche kisiki yaad hoti hai...
aap ko pata na hoga...
apki har khushi ke peche hamari faryaad hoti hai!
yaad kar ke Mujhe Taqleef to Hoti Hogi...
Aik Qissa Hoon Puraana sa Bhula De Mujh ko...
Dubte Dubte Aawaaz teri soon jaaoon...
Aakhri Baar Tu Saahil se Sada De Mujh ko !!!!
,,MeRa NaaM LeNa,,

jab kabhi udaas hona,-
-jab kabhi naashaad hona,
our meri judaai ka sadma sehna,
tum kisi se kabhi mat kehna,
keh tum ko mare bin nahi rehna,
jab kabhi meri yaad aaye,
tarap milne ki dil mein jagaaye,
tanhaai mein yaa mehfil mein sataaye,
our iss halat se tu tang aa jaye,
tab,
jaan gee
tum kisi se kbhi mt kehna ,
keh tum ko mare bin nahi rehna,
bas aankhein mond lena,
our pyaar se mera tasuwar karna,
our phir dhare se pyaar se Mera nam lena,
,,DAIRY KA EK PAGE,,

Kal tanhayi main jab
Apni dairy ko maine khola

Bohat se shair Dil ko lage
Bohat si shairi pe Dil dhuka

Ek aisa safa bhi is main aaya
Likha hua tha jo aanso''on se

Ke us ka unwaan Hamsafar tha
Woh safa sab se hi Moatber tha

Kuch aur aansoo phir is safe per tapke
Phir us se aage main parh na paaya

Apni Dairy ko bund karke
Uss ki yaadon main kho gaya main

Ke woh milti to kitna accha hota
In hi khayalon main sogaya main
Dhala din..
Fir wahi shaam hogi..
Askh honge, yaadein hongi,
Zindgi...,Fir gum k pyalo k naam hongi.
Hasrato ki mehfil....
Uhi viraan hongi.
Chalo tumhare pyar par yakeen karte hain
Dil kya yeh jaan tum par qurbaan karte hain
Bus tum mere dil ko dhukana mat
Bus yehi tumse hum faryaad karte hein


Tammana se nahi tanhai se darte hain,
Pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
Milne ki to bahut chahat hai,
Par milne ke baad judaai se darte hain


yaad toh har koi karega jaane ke baad
Sache pyar ka pata chal jaayega waqat aane ke baad
Kaun kitni mohabbat karta hai
Nazar aajayega mar jaane ke baad
Har dhadkan pe aapka naam liya karte hain,
Aap ho humey apni jaan se bhi pyare,
Tabhi to waqt be waqt yaad kiya karte hain


Samandar mein "Gahrai" ki tarhan
Pyar mein "Judai" ki tarhan
Dosti mein "Chahat" ki tarhan
Mohabbat mein "Wafa" ki tarhan
Meri zaban par tum rahte ho "Dua" kei tarhan


Ankhain aap ki hoon par anso mere
Zindagi aap ki ho par sansain meri
Dil aap ka ho par dhadkan meri
Zindagi k akhri more par dua hogi ye
Kafan aap ka ho aur mout meri
Tere ikhlas say mohabat ki hai
Tere ehsas se mohabat ki hay
Mana tu paas nahi hai phir bhi hum nay
Teri yaad se mohabat ki hai
Kabhi tu ne bhi mujhe yaad kia hoga
Mainay teri yaad k lamhaat say mohabat ki hai
Jin mein hoon sirf teri or meri batein
Meinay un auqaat say mohabbat ki hai
Or jo mehkay hoon sirf teri hi mohabat say
Meinay un jazbat say mohabat ki hay
Tujh say milna to ab khuwab sa lagta hai
Meinay tere intezar se mohabat ki hay