pyar SMS Messages974 messages

Woh pyar Ka Saboot Dikhaya Karta Tha
ansoo Baha Kar Humein Manaya Karta Tha

yeh Zindagi Sirt Tum Se Hi Wabasta Hai
aksar Yeh Baat Humein Bataya Karta Tha

us Ki Batoon Mein Kuch Aisa Asar Tha
mein Barish Ke Bina Hi Bheeg Jaya Karta Tha

soney Ki Fursat Hi Kisay Thi
woh Humein Sari Raat Jagaya Karta Tha

bechaini Jab Had Say Barh Jati Thi
woh Ji Bhar Ke Galay Lagaya Karta Tha

woh Itni Mohabbat Karnay Wala Badal Gaya
jo Har Baat Par Meri Qasam Khaya Karta Tha
Nigaho'n k Tasadum Se Ajab
takrar Kerti Hy

Yaqeen Kamil Nahi Lekin Guman
Hy pyar Kerti Hy

Laraz Jata Hoon Main Ye Soch k
Kafir Na Ho Jao'n

Tabiyat Us ki Pooja Pe Bara
Israar Krti Hy

Usay maloom Hy Shayad Mera D
Hy Nishane Per

Labo'n se Kuch Nahi Kehti
Nazar Se Waar Kerti Hy

Main Us Se Poochta Hoon Khwab
Mein "Mohabbat Hy Mujh Se ?"

Phir Aankhei'n Khol Deta Hoon
jab Wo Izhaar Kerti Hy .. !!!
Rutha jo pyar hum se Dubara nhi mila,
Kya bewafa tha shakhs Dubara nhi mila,

Ik bar aa gya tha sailab aankh mein,
Darya ko us k bad kinara nhi mila,

Mujh ko bhi raas ata nhi Dusra koi,
Usko bhi mere jesa sahara nhi mila,

Barson se phir rha tha jis ki talaash mein,
Wo mil gya to us se sitara nhi mila….
Kia tha maine osse saccha pyar
Kia tha maine oska intizar
Kia tha maine osse wada
kia itna kamzor tha mera pyar
Jin ki Fitrat main Qarar Bhot Tha
Unka Milna Dushwar Bhot Tha
Jo Mere Hathon ki Lakeeron main Na Tha
Mujy Us Shakhs se "pyar" bhot Tha
Khuwabon Ki Ek Basti Thi
Ek Larki Us Main Rehti Thi

Apne Ghar K Angan Main
Kuch Sapne Boya Karti Thi

Apne Kamre Ki Khirki Main
Bondon Se Khela Karti Thi

Sab K Samne Hansti Thi
Chup Chup K Roya Karti Thi

Khud Hi Khud Se Kehte Rehna
Dosto Se Kuch Na Kehti Thi

Chand Ko Ghante Takte Rehna
Phir Khud Se Batain Karti Thi

Dekhne Wali Sab Ankhon Ko
Chand Ka Tukra Lagti Thi

Jab Toot Chuki To Sab Ne Jana
Wo pyar Kisi Se Karti Thi
il k lut jane ka izhar zrori to nai
ye tamasha sar-e-bazar zrori to nai
muja tha ishq teri roh se or ab b ha
jism se koi srokar zrori to nai
me toje tot k chahon tu meri fitrat ha
to b ho meri talabgar zrori to nai
ay sitam kash zara jhank meri ankhon mein
zuban se pyar ka izhar zrori to nai
Tum jab say mile ho yeh duniya janat hay
Tumhain yon chahtay rehna hi bus meri ibadat hay
Na janay q nahi laga mujay dar is zamanay say
Suna hai pyar karnay walo ki aesi hi fitrat hay
Meray mehboob agar koi laga day mujh ko sooli bhi
Meri mayyat bhi bolay gi mujhay tum say mohabbat hay
hum ne tum se pyar kia tum ne ksi or se pyar kia
khuda kre jis se tum pyar kro woh ksi or se pyar kre
Aya hain ramzan jaag utha Iman
Har neki azad hui aur qaid hua shytan

fazr se ghanto pahle har ghar men hai bedari
Neend se sabko nafrat hai aur sehri sabko pyari
bachche sab uth baithe allah ki dekho shaan
Aya hain ramzan jaag utha Iman

Qabr men kaam na ayenge ye sona chandi note
Ab bhi waqt hai kar lo tum dur amal ka khot
Is ramzan men padh lo tum mukammal quran
Aya hain ramzan jaag utha Iman
kahten hain chaand taare, uth rozadar pyare,

Taqdeer ko jagaane, uth nekiyan kamane,
Jannat men ghar banane, har simt hain ujiyare,
kahten hain chaand taare, uth rozadar pyare,

Ye waqt imtihan hain jo kuchh bhi hai hay ayan hai,
Jo iska qadrdaan hai wo shakhs kaamraan hai,
haq ke samajh ishaare, uth rozadar pyare

Gam ki dawa hai roza, dil ki giza hai roza,
sabr o raza hai roza, fazl e khuda hai roza,
kya khoob hai nazare, uth rozadar pyare,

Taqdeer ki sada hai, Iman ki fiza hai,
Maahol dilruba hai, har fard padh raha hai,
Quran ke sipaare, uth rozadar pyare,
Aye mah-e-ramzan aahista chalna
humen khasa qaraz chukana hai,

kuch khuwab hai jinko likhna hai
aur taaberon ko pana hai,

kuch log hain ujray dil wale
un sab main pyar basana hai,

aur khiza raseda aangan main
ab aman ka beej lagana hai,

or rab ko humen mana'na hai
humen khasa qaraz chukana hai...