jaat SMS Messages213 messages

Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Se,
Pyar Chupta Nahi Chupane Se,

Paas Aate Ho Chhute Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se,

Pyar Dil Me Hai To Lao Zubaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se,

Tumhe Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhe Ganwane Se...

Chalo Ek Dua To Apni Puri Hui,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se,

Roye jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Moti Lutaane Se,

Karo Koshish Ki Kurabatein Hi Rahein,
Dooriyan Badh jaati Hai Badhane Se,

Kya Sunayein Kisiko Raaz-E-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se,

Bhool Jao Kar Ke Achha Hai
Ehsaan Rehta Nahi Jatane Se...
mein sahil pe likhi hui ebaarat nahein
jo lehroon sey mit jaati hai
mein baarish ki baarasti boond nahein
jo baras kar tham jati hai
mein khuaab nahein
jisey dekhaa aur bhula diya jaye
mein shama nahein
jisey phoonka aur bhuja diya jaye
mein hawa ka jhonka nahein
jo aya aur guzar gaya
mein chaand bhi nahein
jo raat k baad dhal jaata hai
mein to woh ehsaas hoon jo
tujh mein lahoo bun kar gardish karay
mein to woh rang hoon jo
teray dil par
chahray aur kabhi naa utray
mein to woh parwana hoon jo
jalta rahay aur fana naa hoga
khuaab, ibaaarat, hawak ki tarhaan
chaand, boond, shama ki tarhaan
meray mitnay ka sawaal hi nahein
KIYON K MEIN TO MOHABBAT HOON
AUR MOHABBAT KO KOI ZAWAAL NAhi
Unhone Apna Kabhi Banaaya Hi Nahin
Jootha Hi Sahi Pyar Dikhaaya Hi Nahin
Galtiyaan Apni Hum Maan Bhi jaate
Par Kya Kare Kasoor Hamara Hamein Bataaya Hi Nahin
Zindagi ek chahat ka silsila hai,

koi kisi se mil jaata hai to koi kisi se bichad jaata hai.

Jise hum maangte hai apni dua me,

wo kisi ko bina maange mil jaata hai.
taa-umr

yu hi hum jehmat uthate hain
chand akshar gungunate hain
ve batate hain raah duniya ko
apni galiyon ko bhul jaate hain
lete parwaaz ab nahi naayir
sirf parr apne fadfadate hain
paanv apne hi uth nahi paate
vo humhe har lamha bulate hain
aap kehte hain likha kya humne
aur hum hain ki muskurate hain
jinko dariya dubo nahi paaya
ek chullu bhar mein dhoob jaate hain
uske hothon ki maye kabhi pi thi
umr guzri hai ladkhadate hain
ek tasveer ka sahara le
apni tanhayiaan bitate hain
Jaanta hu ke bewafa hain who,
Fir bhi dil ke haatho fareb khata hu.
Roz kehta hu ki bhool jaaunga usko,
Roz isi baat ko bhool jaata hu.
Jab Koi Kalaam Kisi K Dil Mein utar jaata Hai
Sach Kehta Hoon Likhne Wale Ka josh Nikhar jaata Hai
Lagta Hai Kuchh To Hai Maayne Dil K Ehsaason K
Har Alfaaz Kagaz Par Khud Sawar jaata Hai
Chalti nahi duniya kisi ke aane se,

rukti nahi duniya kisi ke jaane se.

Pyar to sabko mil jaata hai,

kami ka pata to chalta hai kisi ke dur jaane se.
Jab kuch sapne adhure reh jaate hai,

tab dil ke dard aasu banke beh jate hai.

Jo kabhi kehte the ki hum sirf aapke hai,

pata nahi wo kese alvida keh jate hai.
sa manzar hai kahan tak sochon
zindagi main terey baray main kahan tak sochon

Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay
aur main sirf paroosi k makaan tak sochon

Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai
main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon

Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain
tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak
Wo mujhe naraaz nahi hone dete….
Mana ki galtiya ho jaati hai humse bhee..
Aur wo naraaz ho kar humse kabhi rooth jate hai
Kabhi kabhi to aisa bhee hota hai dekho..
Hum to roothte bhee nahi..Aur wo fir bhee manate hai…
Mere dosto ko aate hai mujhe manane ke tareeke….
Jab manana hota hi to wo khud rooth jate hai....
Aur ab kamala dekho apni dosti kaa…..
Abhi hum khud roothe the... Ab dekho unko hi manate hai...
*Talash-e-Gumshuda*
Naam Ch. Shujaat Hussain.
Bolnay or dekhnay say maazoor hai.
Zehni tawazan drust nahi
Apna naam Quaid-i-Azam btata hay.
18 Feb ki Sham kala Chashma pehanay Cycle ko puncture lagwanay nikla tha jis ko milay, is patay par rabta karay:
Ch. Azab-e-Elahi (Ex-CM Pokha Nanga Punjab), Lota House, Opposite Coruption Factory, Horse trading Bazar, Gujrat.