Zindagi SMS Messages861 messages

Meri Ankhoon Sai Kabhi Utroo Dil Main,
Kai Main Dhadkan Main Basa Lon Tum Ko,
Jaan Sai Barh Kar Chahon Tumhain,
Apni Zindagi Hi Banna Loon Tum Ko,
Maray Khabon Main Sirf Tum Hi Baso,
Apni Neendon Main Saja Loon Tum Ko,
Loogon Ki Bhir Main Kho Na Jao Kahin,
Zamanay Sai Chalo Main Chura Lon Tum Ko,
Meri Tanhai Ko Zaroorat Hai Tumhari,
Gar Ijazat Ho Tu Yadon Main Bula Lon Tum Ko
Beymaainay hotay hain woh lamhay jub tum paas nahi hotay
Lagtaa hai mujhay aisay ke Zindagi tehr gayee ho jaisay
Aasman bhi beyrounuq sa lagtaa hai mujhay ke
Kisi nay chand taaron ki roshni chura lee ho jaisay
khayal ko kisi aahat ki aas rehti hai
nigah ko kisi surat ki pyas rehti hai
tere bina kisi chez ki kami to nahi
magar tere bina Zindagi udas rehti hai
Khuda kisi ki muhabbat pe fida na kare,
Agar kare to Zindagi bhar judaa na kare...
Bari mushkil me hon
mein kaise izhaar karon
tu to khushbu hai
tujhe kaise giraftar karon....
The Lovely Love THEORAM :=

Kisi Se Pyar Karna PAGALPAN Hai ..

Jiss Se Ap Pyar Karu Or Wo Bhi Ap Se Pyar Kare , To Wo Duty Hai ..

LAKIN

Ager Apko Koi Pyar Kare To Woh Apki KHUSHKISMATI Hi Nahi , Zindagi bhi Hai.

ISliye Apne Pyar Ki Kadar Karu Aisa Na Ho k Wo Kisi Or Ka Pyar Bn Jaye
Tere naam se apna naam jhoor loon aye sanam,
Teri sansoon se apni sanseen jhoor loon aye sanam,
Thaam loon hathoon mein hath yunhi umar bhar,
Zindagi ki sham ho jaye teri bahoon mein aye sanam...

MAHEK
nafratain lak mili koi muhabbat na mili
Zindagi beet gai par rahat na mili
teri mehfil may har shaks ko hansta deka
ik may tha jisay hansnay ki ijazat na mili
"Pyar kya hai"
Pyar- wo ehsas hai jis k saharey Zindagi guzara assan aur bamani ho jata hai.
Pyar- wo dard hai jo bardi sey bardi taleef ka b pata naheen lagne deta, chahey jism jal b jaye.
Pyar- wo ummeed hai jo saan tootney k baad b qayam rehti hai
Zindagi ke din kaise bhi hoon guzar jayein ge,,,,ek din hum bhi chupke se mer jayein ge,,,,aaj rehte hain aap ke dil mein yaad ban ker,,,,kal ansoo ban ker ankhoon se nikal jayein ge...
Bina Jurm-o-Khata, Khood ko koi aisi Saza Dena
Boht Mushkil hai Meri Janaa!! Tumhein bilkul Bhula Dena
Mere Maula! agar Tuu ne dubara Zindagi Bakhsi
To bus itni Guzarish hai, Mujhe Patthar bana dena
Mai Zehni tor per Khood ko zara Tayyar kar loongi
Bichar jane se kuch pehley HAMDAM bata dena
Tumhari ye Shararat aaj tak naqsh hai Dharkan per
Dabe paoon chale ana, Mera Jhumka hila dena
Phir is k baad jis k paas b jao, ijazat hai
Mujhe ek baar apne Naam ki Mehndi laga dena
Faqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni dedo
Tumhein kis ne ye Bola tha, Meri Basti jala dena
Jise Barish k paani mai baha ker Muskhurate the
Mujhe Kagaz ki wo Kishti zara phir se bana dena
Umar bhar phir Tumhara Rasta takne se acha hai
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K Zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
Pukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k ghoont pee leta
Hayat cheekhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta
Magar yeh ho na saka aur ab yeh alam hai
K tu nahi tera ghum teri justaju bhi nahi
Guzar rahi hai kuch es tarah say Zindagi jaisay
Zamanay bhar k dukhon ko laga chukka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjani rahgawaron say
Muhayab saye meri simat bhartay atay hain
Hayat-o-maut k par hol kharzaron say
Na koi jada manzil na roshni ka charag
Bhatak rahi hai khalaon mein Zindagi meri
Enheen khalaon mein reh jaoo ga kabhi kho kar
Mein janta hoon meri ham-nafas magar youn hee
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai