Doori SMS Messages55 messages

Per Aahri dam takk manni na main haar!
Majbooriyan de naal aayian zindgi ch Dooriyan
Dooriyan de naal hoyian khushiyan adhoriyan
Shraab kissy cheez da elaaj nahin
Zindagi saza nahin, kis wely hona ki kisy nu pata nai
Bhang p k kadi koi jitteya ni jangg
Jadon duniya de meleyan toon ho jao tangg!! Odon Lailo meri Salah!
Meri zindgi ch Aaaiyan mushkilan batheriyan,
Per Aahri dam takk manni na main haar!!!
Dosti main Dooriyan to aati rehti hain

Phir bhi dosti dilo ko mila deti hai

Wo dosti hi kiya jo naraz na ho

Per sachi dosti dosto ko mana leti hai
Jab pyar ki baat adhoori ho

jab beech main thori Doori ho

jab milna boht zarori ho

per milne main majboori ho

tum dil main yaad jaga lena

kuch pyaar k deep jala lena

jab mujsay milny aa na sako

aur yaad se bahir ja na sako

thora dil ko samjha lena

BUS YAAD SAY DIL BEHLA LENA.!!!
Dooriyan Buhat Hain Magar Itna Samjh Lo

Pass Reh Kar Hi Koi Khaas Nahi Hota

Tum Is Qadar Pass Ho Mere Dil K

Mujhe Dooriyon Ka Ehsaas Nahi Hota..
Chalo Aao Phir Kisi Din Mulaaqat Kar K Dekhain,


Beeti Hui Baaton Ko Phir Yaad Kar K Dekhain,


Kuch Gham Bhi Bhool Jayein Kuch Doorian Bhi Kam Hon,


Aik Shaam Aik Doojay k Naam Kar K Dekhain,


Jo Reh Gai Thin DiL Main Jo Tumko Thi Bataani,


Phir Milay Na Milay Mouqa Wo Baat Kar k Dekhain,


yun Baaton hi Baaton Main Wo Baat Bhi Ho Jaaye,


Jiss Baat Main Wo Baat Ho Wo Baat Kar K Dekhain.../
Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Say,
Piyaar Chupta Nahin Chupane Say.


Paas Aatey Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Say Kabhi Bahaaney Say.


Piyaar Dil Mein Hai To Lao Zubaan Pey,
Aag Badhti Hai Ye Bujhaaney Sey.


Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaney Sey.


Chalo Ek Dua To Apni Poori Huiey,
Mil Liye Apne Ek Deewaaney Sey.


Roye Jatey Ho, Bas Roye Jatey Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutaaney Sey.


Karo Koshish Ki Kurbatein Hi Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaaney Sey.


Kya Sunaayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunaaney Sey.


Bhool Jaao Kar Ke Achha Hai ,
Ehsaan Rehta Nahin Jataaney Sey.../
Naya Ek RABT paida kyoon karen HUM?
Bicherna Hai to JHAGRA kyoon karen HUM?

Khamoshi se Ada ho RASM-E-Doori...
Koi Hungama barpa kyoon karen HUM?

Ye Kaafi hai k HUM (HUM''TUM ) Dushman nahi hain...
Wfadaari ka DA''wa kyoon karen HUM?

Wafa,Ekhlaas,Qurbani,Muhabbat...
Ab in Lafzoon ka peecha kyoon karen HUM?

Hamari he Tamanna kyoon karo TUM?
Tumhari he Tamanna kyoon karen HUM?

Kia tha Ahad jab Lamhon main HUM ne...
To saari Umr Efaa kyoon karen HUM?
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle Dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waqf ho jane ko hai
USKA HI ZIKR HAI AUR MAIN HUN
ISHQ BE KHABAR HAI AUR MAIN HUN

ZYADA KEHNA BHI KYA LAFZ HANSTE SE HAIN
USKA HI ASAR HAI AUR MAIN HUN

FASLE NA RAHE DooriYAN MIT CHUKIN
PYAR KA IK SHAHAR HAI AUR MAIN HUN

EK GUMNAAM PYAR EK KHAAMOSH ISHQ
HASRATON KA NAGAR HAI AUR MAIN HUN
Mai Ne Poocha Kaise Ho
Badley Ho Ya Waise Ho
Roop Wohi Andaz Wohi
Ya Phir Is Mein Hoi Kami
Hijr Ka Kuch Ehsas To Ho Ga
Koi Tumhare Pass To Ho Ga
Mai Bichra ye Majboori Thi
Kab Manzoor Mujhe Doori Thi
Saath Hamara Kab Choota Hai
Rooh Ka Rishta Kab Toota Hai
Aankh Se Jo Aansu Behte Hain
Tum Ko Khabar Hai Kya Kehte Hain?
Mai Ne Kaha Awaz Tumhari
Aaj Bhi Hai Hamraz Hamari
Phool Wafa K Khil Jayen Ge
Ik Din Hum Phir Mil Jayen Ge
Pyaar se pyari koi majboori nahi hoti.
kami apno ki kabhi puri nahi hoti.
Dilon ka juda hona alag baat hai,
Nazron se door hona koi Doori nahi hoti.
Jab piyaar ki baat adhori hoo
Jab beech mien thori Doori hoo
Jab milna bhoat zrori ho
Par milnay mien majboori hoo
Tum dil mien yaad jaga laina
Kuch piyaar kay deep jala laina
Jab mujh say milnay aa na sako
aur yaad say bahir jaa na sako
Thora dil ko samjha laina
Bus yaad say dil behla laina