Aik baar SMS Messages18 messages

Hum Apne aap Per Garoor nahi karte.
Kisi ko pyar karne pe majboor nahi karte.

Magar jise Aik baar dil main basa lain.
Phir marte dam tak ussy dil se dour nahi karte.
Policeman: Tum ne faqeer ko Q mara?

Pathan: Hum ne ise baar bola tha ke hum aisa waisa aadmi nahi hai,

Phir bhi ye bolta hai

"Aik baar de dey baba, phir nahi aaonga
Kab usay intizaar mera tha
Ye to bas aetibar mera tha

Meri khush fehmi thi shayad
K us pe kuch ikhtiyaar mera tha

Kabhi uski bhi aisi haalat thi
Jaise dil-e-beqaraar mera tha

Ghamon mein qaid kar gaya mujhe
Wohi jo gham gusaar mera tha

Mein bhala kaise bhool jaon usay
Jo kabhi Aik baar mera tha
Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhay
Pathar Pay Hon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay

Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Mai Kia Hon, Aik baar Bata Dijiye Mujhay

Merey Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay

Mai Kia Hon, Kis Jagah Hon, Mujhay Kuch Khabar Nahi
Hain Aap Kitnay Duur Zara Sada Dijiye Mujhay

Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash''heer Jaa Baja
Mai Maanta Hon Jurm, Saza Dijiye Mujhay

Qaim To Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath
Gehray Samandaron Mai Baha Dijiye Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida
Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay

Jaltey Dinon Mei Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Mei Laga Dijiyey Mujhay

Yun To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka
Likin Sulag Uthoon To Hawa dijiye Mujhay
Meray dil meray musafir.
Hova pher say hukam sadir.
K watan badar hon hum tum.
Dain gali gali sadaain.
Karain rukh nagar nagar ka.
K soraagh koi pain.
Kisi yar-e-nama bar ka.
Har ik ajnabi say pochain.
Jo pata tha apnay gher ka.
Sar-e-koay-e-tashanayan.
Humain din say raat karna.
Kabi is say baat karna.
Kabi us say baat karna.
Tumhain kia kahoon k kia hai.
Shab-e-ghum bori bala hai.
Humain yah b tha ganeemat.
Jo koi shumar hota.
Humain kia bora tha marna.
Agar Aik baar hota.
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.
najaney kyoon guzrey zamaney yaad atey hein
kyoon ye puraney zakham phir mujhe statey hein

har chehrey mein chupa hai chehra un ka
nazar milaney se hum issi liye katratey hein

kub hoti hai rahat dil ko iss tarah se
ke tera naam le kar hum kissi aur ko bulatey hein

yoon toh roney ko umar de gaya wo
lekin gham oss ke sehney se hum kub ghabratey hein

ghar se be ghar kiya tha jin logoon ne humein
suna hai phir mujhe wapas bulatey hein

apney naseeb mein hai Aik baar wisaal un ka
mere naseeb issi liye tujhe baar baar azmatey hein

in ankhoon ko nhin ab naseeb unein dekhna
kya karein wo mere khwaboon mein aa jatey hein!!
Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhay
Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, Aik baar bata dijiyey mujhay

Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhay
Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahin
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhay

Ki main ne apne zakham ki tash''heer ja baja
Hum mantey hein jurm, saza dijiyey mujhay
Qaim to ho sakey koi rishta ap key saath
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhay

Shab bhar kiran kiran ko tarasnay se faida
Hai tairgi to aag laga dijiyey mujhay
Jaltey dinoon main khud pas-e-deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhay
Tu Nafrat Ki Aag Pe Aik Aanso Baha K Dekh
Mohabbat Kitna Wazan Rekhti Hai Usko Azma K Dekh
Wo Roth Jaye Tujhse Bari Baat Nhi Hai
Tu Hans K Aik baar Usey mana k Tou Dekh
Tamam Shehar Ko Apny Khialf Ker Layty
Um Uske Jurm Ka Bhi Aytraf Ker Layty
Wo Aik baar to Kehta Mujhe Mohabbat Hai
Rawatyon se b Hum Inheraf Ker Layty
Wo aik Barr b Humse Mila nahi Werna
Hum Uske Dil ko b Uske Khilaf ker layty
Bichra hai Jo Aik baar Tu milte nahi daikha
iss zakhm ko hum nai kabi Silte nahi daikha

ik baar jise chaat gaye dhoop ki khwahish
Phir Shaakh pe iss phool ko khilte nahi daikha

aik paid Gira hai Tu Jarain tak nikal aayein
Jiss paid ko aandhi main b hilte nahi daikha

Kantoon main giray phool ko Choomay Ge Laiken
Titli k paron ko kabi Chiltay nahi daikha

Kiss Tarah mere Rooh harri kar gaya aakhir “N“
woh Zehar jisse jism main khulte nahi daikha..
Chup Rehte To Dum Ghut-ta Aur Dard Zada Hota
Kuch Moo Se Nikal Jata Tou Koi Khafa Ho Jata
WO Jab Bhi Zaara Rotha Chup Behte Rahe Hum Bhi
Aik baar Mana Lete Tou Roz Khafa Hota